Monday 27 February 2017

Aansu Baha is Din Par Jo Teri Zindagi Se Guzaar Gaya Aur is Mai Koi Neki Nahi Hui


Aansu Baha is Din Par Jo Teri Zindagi Se Guzaar Gaya Aur is Mai Koi Neki Nahi Hui.

Farz Namaz Ghar Par Na Pada Karo





Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Agar tum farz namazo ko ghar mein padhoge to tumne Nabee sallallahu alaihi wasallam ki sunnat ko chodh diya aur tum gumrah ho jaoge

Abdullah bin masud Radi allahu anhu se rivayat hai ki jo ye pasand kare ki Allah subhanahu se Qayamat ke din musalman hokar mulaqat kare to usko jaruri hai ki un namazo ki hifazat kare jahan adhan hoti hai wo isliye kyunki Allah subhanahu ne tumhare Nabee sallallahu alaihi wasallam ke liye hidayat ka raasta muqarrar kar diya hai aur ye namazein bhi usee mein se hain.

Agar tum ( farz) namazo ko ghar mein padhoge jaise falah banda ghar mein namaz padhta hai to beshak tumne apne Nabee sallallahu alaihi wasallam ki sunnat chodh diya aur agar tumne Nabee sallallahu alaihi wasallam ki sunnat chodh diya to tum gumrah ho jaoge

Jab tum mein se koi wudhu ( taharat ) kare aur achchi tarah wudhu kare aur phir un masjido mein se kisi masjid ka irada kare to Allah subhanahu uske har qadam ke badle ek neki likhta hai aur ek darja buland karta hai aur ek gunah mita deta hai

Uske baad humne dekha ki koi bhi jamaat mein gair hazir nahi rahta tha siwaye aise munafiq ke jiska nifaq khula hua ho, aur aadmi do shaksh ke kaandho par haath rakh kar chalaya jata tha aur saf mein lakar khada kar diya jata tha

Sahih Muslim, Vol 2, 1488