(Sura-Maeeda Madina mai Nazil hui, is mai aikso-bees (120) Aayatain hain)
1
Ae Eemaan Walo !Apne Iqraaron(Promises) Ko Poora Karo. Tumhare Liye Chaar Paaye Janwar, Joh Charne Wale Hain, Halaal Kar Diye Gaye Hain.Bajuz (Instead Of) Un Ke Joh Tumhain Parh Kar Sunaye Jate Hain, Magar Ehram-E-Haj Main Shikaar Ko Halaal Na Jan-Na. Khuda Jaisa Chahata Hai Hukum Deta Hai.
2
Momino! Khuda Ke Naam Ki Cheezon Ki Be Hurmati Na Karna Aur Na Adab Ke Maheene Ki, Aur Na Qurbani Ke Janwaron (Animals) Ki Aur Na Un Janwaron Ki Joh Khuda Ki Nazar Kar Diye Gaye Houn, Aur Jin Ke Galoun (Neck) Main Patte Bandhe Houn, Aur Na Un Lougon Ki Joh Izat Ke Ghar Yaani Bait-Ullah Ko Ja Rahe Houn, Aur Apne Parwardigaar Ke Fazal Aur Us Ki Khushnodi Ke Talabgaar Houn, Aur Jab Ehraam Utaar Do Toh Phir Ikhtiyaar Hai Ke Shikaar Karo Aur Lougon Ki Dushmaini Is Wajah Se Ke Un Hon Ne Tum Ko Izzat Wali Masjid Se Roka Tha, Tumahin Is Baat Par Aamaada Na Kare Ke Tum Un Par Ziadti Karne Lago Aur Daikho Naiki Aur Parhaizgari Ke Kamon Main Aik Doosre Ki Madad (Help) Kia Karo Aur Gunnah Aur Zulm Ki Batoun Main Madad Na Kia Karo Aur Khuda Se Darte Raho. Kuch Shak Nahi Ki Khuda Ka Azaab Sakht Hai.
3
Tum Par Mara (Dead) Hua Janwar Aur Behta (Flooded Blood) Hua Lahoo Aur Sooar (Pigg) Ka Gosht (Meat) Aur Jis Cheez Par Khuda Ke Siwa Kisi Aur Ka Naam Pukara Jaye, Aur Joh Janwar Gala Ghutt Kar Mar Jaye Aur Joh Chout Lag (Injured) Kar Mar Jaye, Aur Joh Gir Kar Mar Jaye, Aur Joh Seengh Lag Kar Mar Jaye Yeh Sab Haraam Hain, Aur Wo Janwar Bhi Jis Ko Darinde (Wild Animals) Phaar Khayen. Magar Jis Koo Tum Marne Se Pehle Zibaah Kar Lo Aur Wo Janwar Bhi Joh Thaan Par Zibaah Kia Jaye, Aur Yeh Bhi Ke Paason Se Qismat Maloom Karo, Yeh Sab Gunnaah Ke Kaam Hain, Aaj Kafir Tumahare Deen Se Na Umeed Ho Gaye Hain Toh Un Se Mat Daro, Aur Mujhi Se Darte Raho Aur Aaj Ham Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Kamil Kar Dia Aur Apni Naimatain Tum Par Poori Kar Deen Aur Tumhare Liye Islam Ko, Deen Pasand Kia, Haan Joh Shakhs Bhook Main Nachaar Ho Jaye Basharat Ye Ke Gunaah Ki Taraf Mail Na Ho Toh Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
4
Tum Se Poochte Hain Ke Koun Koun Si Cheezain Un Ke Liye Halaal Hain, Un Se Keh Do Ke Sab Paakeeza Cheezain Tum Ko Halaal Hain Aur Wo Shikaar Bhi Halaal Hai Joh Tumhare Liye Un Shikari Janwaron Ne Pakra Ho, Jin Ko Tum Ne Sidha(Trained) Rakha Ho Aur Jis Tareeq (Method) Se Khuda Ne Tumhain Shikaar Karna Sikhaya Hai, Us Tareeq Se Tum Ne Un Ko Sikhaya Ho, Toh Joh Shikaar Wo Tumhare Liye Pakar Rakahin Us Ko Kha Liya Karo, Aur Shikari Janwaron Ko Chorte Waqt Khuda Ka Naam Le Liya Karo, Aur Khuda Se Darte Raho.Beshak Khuda Jald Hisab Lene Wala Hai.
5
Aaj Tumhare Liye Sab Paakeeza Cheezain Halaal Kar Di Gaiyee, Aur Ehl-E-Kitaab Ka Khana Bhi Tum Ko Halaal Hai Aur Tumahra Khana Un Ko Halaal Hai, Aur Paak Daaman Momin Aurtain Aur Paak Daman Ehl-E-Kitaab Aurtain Bhi Halaal Hain, Jabke Un Ka Meher De Do. Aur Un Se Iffat Qaaim Rakhni Maqsood Ho, Na Khuli Badkari Karni, Aur Na Chupi Dosti Karni, Aur Joh Shakhs Eemaan Ka Munkir Hua Us Ke Amal Zaaya Ho Gaye, Aur Wo Aakhrat Main Nuqsan Paane Walon Main Hoga.
6
Momino! Jab Tum Namaz Parhne Ka Qasad(Irada) Kia Karo Toh Moonh (Face) Aur Kohniyon Tak Hath Dho Liya Karo Aur Sar Ka Massah Kar Liya Karo Aur Takhnoun Tak Paaon Dho Liya Karo, Aur Agar Nahaane Ki Hajat Ho Toh Naha Kar Paak Ho Jaya Karo, Aur Agar Bimar Ho Ya Safar Main Ho, Ya Koi Tum Main Se Bait-Ul-Khala Se Ho Kar Aaya Ho, Ya Tum Aurtaon Se Ham Bistar Hue Ho, Aur Tumahin Paani Na Mill Sake, Toh Paak Matti Lo Aur Us Se Moonh Aur Hathon Ka Masaah Yaani Taiyamuum Kar Lo. Khuda Tum Par Kisi Tarha Ki Tangi Nahi Karna Chahta Balke Yeh Chahta Hai Ke Tumhain Paak Kare Aur Apni Naimatain Tum Par Poori Kare, Taa-Ake Tum Shukar Karo.
7
Aur Khuda Ne Joh Tum Par Ehsaan Kiye Hain Un Ko Yaad Karo Aur Us Ehed Ko Bhi Jis Ka Tumse Qoul Liya Tha, Yaani Jab Tum Ne Kaha Tha Ke Ham Ne Khuda Ka Hukum Sunn Liya Aur Qabool Kia. Aur Allah Se Daro. Kuch Shak Nahi, Ke Khuda Diloun Ki Baton Tak Se Waqif Hai.
8
Ae Eemaan Walo! Khuda Ke Liye Insaaf Ki Gawahi Dene Ke Liye Khare Ho Jaya Karo. Aur Logoun Ki Dushmani Tum Ko Is Baat Par Aamada Na Kare, Ke Insaaf Chor Do. Insaaf Kia Karo, Ke Yeh Hi Parhaizgari Ki Baat Hai Aur Khuda Se Darte Raho. Kuch Shak Nahi Ke Khudaa Tumahare Sab Aamaal Se Khabardaar Hai.
9
Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe, Un Se Khuda Ne Waada Farmaya He, Ke Un Ke Liye Bakhshsih Aur Ajar-E-Azeem Hai.
10
Aur Jinhoun Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayaton Ko Jhutlaya Wo Jahanumi Hain.
11
Ae Eemaan Walo! Khuda Ne Joh Tum Par Ehsaan Kia Hai Us Ko Yad Karo. Jab Aik Jamaat Ne Irada Kia Ke Tum Par Dast Darazi Karen Toh Us Ne Un Ke Hath Rouk Diye Aur Khuda Se Darte Raho Aur Momino Ko Khuda Hi Par Bharosa Rakhna Chahiye.
12
Aur Khuda Ne Bani Israeel Se Iqraar Liya Aur Un Main Ham Ne Bara Sardaar Muqarrar Kiye, Phir Khuda Ne Farmaya Ke Main Tumahre Sath Hoon Agar Tum Namaz Parhte Aur Zakat Dete Raho Ge Aur Mere Paigambaron Pe Eemaan Lao Ge, Aur Un Ki Madad Karo Ge Aur Khuda Ko Qarz-E-Hasna Do Ge, Toh Main Tum Se Tumahre Gunnah Door Kar Doonga Aur Tum Ko Behishaton(Heaven) Main Dakhil Karoonga, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Phir Jis Ne Us Ke Baad Tum Main Se Kufur Kia Wo Seedhe Raste Se Bhatak Gaya.
13
Toh Un Lougon Ke Ehed Tor Dene Ke Sabab Ham Ne Un Par Laanat Ki, Aur Un Ke Diloun Ko Sakht Kar Dia, Yeh Loug Kalmaat-E-Kitaab Ko Apne Maqamaat Se Badal Dete Hain Aur Jin Baton Ki Un Ko Naseehat Ki Gai Thi, Un Ka Bhi Aik Hissa Faramosh Kar Baithe, Aur Thore Aadmiyon Ke Siwa Hamesha Tum Un Ki Aik Na Aik Khayanat Ki Khabar Paate Rehte Ho, Toh Un Ki Khataye Moaaf Kar Do Aur Un Se Darguzar Karo Ke Khuda Ehsan Karne Walon Ko Dost Rakhta Hai.
14
Aur Joh Loug Apne Taiyee (Themselves) Kehte Hain Ke Ham Nasaari Hain, Ham Ne Un Se Bhi Ehed Liya Tha, Magar Unhon Ne Bhi Is Naseehat Ka Joh Un Ko Ki Gai Thi Aik Hissa Farmaosh Kar Dia Toh Ham Ne Un Ke Baham Qiamat Tak Ke Liye Dushmani Aur Keena Dal Dia Aur Joh Kuch Wo Karte Rahe, Khuda Anqareeb Un Ko Us Se Agaah Kare Ga.
15
Ae Ehl-E-Ktiaab! Tumhare Paas Hamare Paighabmar Aakhir-Uz-Zamaan Aa Gaye Hain, Ke Joh Kuch Tum Kitaab-E-Ilaahi Main Se Chupate The Wo Is Main Se Bohot Kuch Tumhain Khol Khol Kar Bata Dete Hain Aur Tumhare Bohot Se Qasoor Moaaf Kar Dete Hain Be Shak Tumahre Pas Khuda Ki Taraf Se Noor Aur Roshan Kitaab Aa Chuki Hai.
16
Jin Se Khuda Apni Raza Par Chalne Walon Ko Nijaat Ke Raste Dikhata Hai, Aur Apne Hukum Se Andhaire Main Se Nikaal Kar Roshni Ki Taraf Le Jata, Aur Un Ko Seedhe Raste Par Chalata Hai.
17
Joh Loug Is Baat Ke Qaail Hain, Ke Eesa Ibn-E-Maryam Khuda Hain Wo Be Shak Kaafir Hain, Un Se Keh Do Ke Agar Khuda, Eesa
Ibn-E-Maryam Ko Aur Un Ki Waalda Ko, Aur Jitney Loug Zameen Main Hain Sab Ko, Halaak Karna Chahe, Toh Us Ke Aage Kisi Ki Paish Chal Sakti Hai? Aur Aasmaan Aur Zameen Aur Joh Kuch Un Dono Main Hai Sab Par Khuda Hi Ki Baadsahi Hai Wo Joh Chahta Hai Paida Karta Hai Aur Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.
18
Aur Yahood Aur Nasara Kehte Hain Ke Ham Khuda Ke Bete Aur Us Ke Piyare Hain, Kaho Ke Phir Wo Tumhare Bad Aamaliyon (Bad Characters) Ke Sabab Tumahin Azaab Kion Deta Hai? Nahi Balke Tum Us Ki Makhlooqaat Main Doosron Ki Tarha Ke Insaan Ho, Wo Jise Chahe Bakhshe Aur Jise Chahe Azaab De Aur Aasmaan Aur Zameen Aur Joh Kuch In Dono Main Hai, Sab Par Khuda Hi Ki Hukumat Hai Aur Sab Ko Usi Ki Taraf Lout Kar Jana Hai.
19
Ae Ehl-E-Kitaab Paigambaron Ke Aane Ka Silsila Joh Aik Arse Tak Munqata Raha Toh Ab Tumhare Paas Hamare Paighambar Aa Gaye Hain Joh Tum Se Hamare Ehkaam Bayan Karte Hain, Taa-Ake Tum Ye Na Kaho Ke Hamare Paas Koi Khushkhabari Ya Dar Sunaane Wala Nahi Aaya, So Ab Tumahre Pas Khushkhabri Aur Dar Sunane Wale Aa Gaye Hain Aur Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.
20
Aur Jab Moosa Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Bhaiyo Tum Par Khuda Ne Joh Ehsaan Kiye Hain Un Ko Yaad Karo, Ke Us Ne Tum Main Paigambar Paida Kiye, Aur Tumhain Badshah Banaya Aur Tum Ko Itna Kuch Inayat Kia Ke Ehel-E-Aalam Main Se Kisii Ko Nahi Dia.
21
Toh Bhaiyo! Tum Arz-E-Muqaddas Yaani Mulk-E-Shaam Main Jisse Khuda Ne Tumahre Liye Likh Rakha Hai Chal Dakhil Ho Aur Diakhna Muqable Ke Waqt Peeth Na Phair Dena Warna Nuqsaan Main Par Jao Ge.
22
Wo Kehne Lage Ke Moosa Wahan Toh Bare Zabardast Loug Rehte Hain Aur Jab Tak Wo Us Sar Zameen Se Nikal Na Jayen Ham Wahan Ja Nahi Sakte, Haan Agar Wo Wahan Se Nikal Jaayen Toh Ham Ja Dakhil Hon Ge.
23
Joh Loug Khuda Se Darte The Un Main Se Do Shakhs, Jin Par Khuda Ki Inayat Thi, Kehne Lage Ke Un Lougon Par Darwaze Ke Raste Se Hamla Kar Do, Jab Tum Darwaze Main Dakhil Ho Gaye Toh Fatah Tumahri Hai, Aur Khuda Hi Par Bharosa Rakho Bashart Ye Ke Sahib-E-Eeman Ho.
24
Wo Bole Ke Moosa! Jab Tak Wo Loug Wahan Hain Ham Kabhi Wahan Nahi Ja Sakte Agar Larna Hi Zaroor Hai Toh Tum Aur Tumhara Khuda Jao Aur Laro Ham Yaheen Baithe Rahain Ge.
25
Moosa Ne Khuda Se Iltija Ki Ke Parwardigaar Main Apne Aur Apne Bhai Ke Siwa Aur Kisi Par Ikhtyar Nahi Rakhta, Tu Ham Main Aur Un Nafarmaan Lougon Main Judai Kar De.
26
Khuda Ne Farmaya Ke Wo Mulk Un Par Chalees Baras Tak Ke Liye Haram Kar Dia Gaya, Ke Wahan Jane Na Paayen Ge Aur Jangal Ki Zameen Main Sargardaan Phirte Rahain Ge, Toh Un Nafarman Lougon Ke Haal Par Afsos Na Karo.
27
Aur Ae Muhammad S.A.W. Un Ko Adam Ke Do Baiton, Haabeel Aur Qabeel Ke Halaat, Joh Bilkul Sache Hain, Parh Kar Suna Do, Ke Jab Un Dono Ne Khuda Ki Janaab Main Kuch Niyazain Charhayeen Toh Aik Ki Niyaaz Toh Qabool Ho Gai Aur Doosre Ki Qabool Na Hui, Tab Qabeel Habeel Se Kehne Laga Ke Main Tujhe Qatal Kar Donga Us Ne Kaha Ke Khuda Parhaizgaron Hi Ki Niyaz Qabool Fermaya Karta Hai.
28
Aur Agar Tu Mujhe Qatal Karne Ke Liye Mujh Par Hath Chalaye Ga Toh Main Tujh Ko Qatal Karne Ke Liye Tujh Par Hath Nahi Chalaon Ga, Mujhe Toh Khuda-E-Rab-Ul-Aalmeen Se Dar Lagta Hai.
29
Main Chahta Hoon, Ke Tu Mere Gunaah Main Bhi Makhooz Ho Aur Apne Gunaah Main Bhi, Phir Zumrra-E-Ehl-E-Dozak Main Ho, Aur Zalimon Ki Yeh Saza Hai.
30
Magar Us Ke Nafs Ne Us Ko Bhai Ke Qatal Hi Ki Targeeb Di, Toh Us Ne Use Qatal Kar Dia Aur Khasara Uthane Walon Main Ho Gaya.
31
Ab Khuda Ne Aik Kauwa (Crow) Bhaja Joh Zameen Kuraidne Laga Taa-Ake Use Dikhaye Ke Apne Bhai Ki Lash Ko Kiyon Kar Chupaye , Kehne Laga, Ae Hai Mujh Se Itna Bhi Na Hosaka, Ke Is Kawae Ke Barabar Hota Ke Apne Bhai Ki Lash Chupa Deta Phir Wo Pasheimaan Hua.
32
Us Qatal Ki Waja Se Ham Ne Bani Israil Par Yeh Hukum Nazil Kia Ke Joh Shakhks Kisi Ko Nahaq Qatal Kare Ga, Yaani Bagair Is Ke, Ke Jaan Ka Badla Liya Jaye Ya Mulk Main Kharabi Karne Ki Saza Di Jaye, Us Ne Goya Tamaam Lougon Ko Qatal Kia, Aur Joh Us Ki Zindagaani Ka Moujab Hua, Toh Goya Tamaam Logon Ki Zindagani Ka Moujab Hua, Aur Un Lougon Ke Paas Hamare Paighabar Roshan Daleelain La Chuke Hain, Phir Us Ke Baad Bhi Un Main Bohot Se Loug Mulk Main Had-E-Aitadaal Se Nikal Jate Hain.
33
Joh Loug Khuda Aur Us Ke Rasool Se Larayee Karain, Aur Mulk Main Fisaad Karne Ko Dorte Phirain Un Ki Yeh Hi Saza Hai Ke Qatal Kar Diye Jayen, Ya Sooli Charha Diye Jayen, Ya Un Ke Aik Aik Taraf Ke Hath Aur Aik Aik Taraf Ke Paaon Kat Diye Jaye, Ya Mulk Se Nikaal Diye Jayen, Ye Toh Dunia Main Un Ki Ruswaye Hai Aur Aakhrat Main Un Ke Liye Bara Bhari Azab Taiyar Hai.
34
Haan Jin Lougon Ne Is Se Paishtar, Ke Tumhare Qaabo Aa Jaayen Touba Kar Li, Toh Jaan Rakho Ke Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
35
Ae Eemaan Walo! Khuda Se Darte Raho Aur Us Ka Qurb Hasil Karne Ka Zariya Talash Karte Raho Aur Us Ke Raste Main Jahaad Karo Taa-Ake Rustgaari Paao.
36
Joh Loug Kafir Hain Agar Un Ke Paas Roo-E-Zameen Ke Tamaam Khazane Aur Is Ka Sab Maal-O-Mataa Ho, Aur Us Ke Sath Isi Qadar Aur Bhi Hota, Ke Qiamat Ke Roz Azaaab Se Rustgaari Hasil Karne Ka Badla Dain Toh Un Se Qabool Nai Kia Jaye Ga, Aur Un Ko Dard Dene Wala Azaab Hoga.
37
Har Chand Chahain Ge Ke Aag Se Nikal Jaaye, Magar Us Se Nahi Nikal Sakain Ge Aur Un Ke Liye Hamesha Ka Azaab Hai.
38
Aur Joh Chori Kare, Mard Ho Ya Aurat, Un Ke Hath Kaat Daalo Ye Un Ke Failon Ki Saza Aur Khuda Ki Taraf Se Ibrat Hai, Aur Khuda Zabardast Aur Sahib-E-Hikmat Hai.
39
Aur Joh Shakhs Gunnah Ke Baad Touba Kar Le Aur Naiko Kar Ho Jaye, Toh Khuda Us Ko Moaaf Kar De Ga, Kuch Shak Nahi Ke Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
40
Kia Tum Ko Maloom Nahi Ke, Aasmaano Aur Zemeen Main Khuda Hi Ki Saltanat Hai? Jis Ko Chahe Azaab Kare Aur Jisse Chahe Bakhsh De Aur Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.
41
Ae Paigambar Joh Loug Kufur Main Jaldi Karte Hain Kuch Toh Un Main Se Hain, Joh Moonh Se Kehte Hain Ke Ham Momin Hain, Lekin Un Ke Dil Momin Nahi Hain Aur Kuch Un Main Se Joh Yahoodi Hain, Un Ki Waja Se Gamnaak Na Hona, Yeh Galat Batain Banane Ke Liye Jasoosi Karte Phirte Hain, Aur Aise Lougon Ke Behkane Ke Liye Jasoos Bane Hain, Joh Abhi Tumhare Paas Nahi Aye, Saheeh Batoun Ko Un Ke Maqamaat Main Sabit Hone Ke Baad Badal Dete Hain, Aur Lougon Se Kehte Hain Ke Agar Tum Ko Yeh Hi Hukum Mile Toh Usse Qabool Kar Lena, Aur Agar Na Mile Toh Us Se Aitaraaz Karna, Aur Agar Kisi Ko Khuda Gumraah Karna Chahe Toh Us Ke Liye Tum Kuch Bhi Khuda Se Hidayat Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhte, Yeh Wo Loug Hain Jin Ke Diloun Ko Khuda Ne Paak Karna Nahi Chaha, Un Ke Liye Dunia Main Bhi Zillat Hai Aur Aakhrat Main Bi Bara Azaab Hai.
42
Yeh Jhooti Batain Baanne Ke Liye Jasoosi Karne Wale Aur Rishwat Ka Haraam Maal Khane Wale Hain, Agar Yeh Tumhare Paas Koi Muqadma Faisal Karaane Ko Ayen Toh Tum Un Ko Faisla Kar Dena Ya Airaaz Karma, Aur Agar Un Se Airaaz Karo Ge Toh Wo Tumhara Kuch Bhi Nahi Bigaar Sakain Ge, Aur Agar Faisla Karna Chaho Toh Insaaf Ka Faisla Karma, Ke Khuda Insaaf Karne Waloun Ko Dost Rakhta Hai.
43
Aur Yeh Tum Se Apne Muqaddamaat Kion Kar Faisal Karayen Ge Jabke Khud In Ke Paas Touraat Mojood Hai, Jis Main Khuda Ka Hukum Likha Hua Hai, Ye Usse Jaante Hain Phir Us Ke Baad Us Se Phir Jaate Hain, Aur Yeh Loug Eemaan Hi Nahi Rakhte.
44
Beshak Ham Ne Touraat Nazil Farmayee, Jis Main Hidayat Aur Roshni Hai Usi Ke Mutabiq Ambia Joh Khuda Ke Farmabardar The Yahoodiyon Ko Hukum Dete Rahe Hain, Aur Mashaa-Ikh Aur Ulma Bhi, Kiyon Ke Wo Kitaab-E-Khuda Ke Nigehbaan Muqararr Kiye Gaye The. Aur Us Par Gawah The Yaani Hokum-E-Ilaahi Ka Yaqeen Rakhte The, Toh Tum Lougon Se Mat Darna, Aur Mujhi Se Darte Rehna Aur Meri Aayaton Ke Badle Thori Se Qeemat Na Laina, Aur Joh Khuda Ke Nazil Farmaye Hue Ehkaam Ke Mutabiq Hukum Na De, Toh Aise Hi Loug Kafir Hain.
45
Aur Ham Ne Un Lougon Ke Liye Touraat Main Yeh Hukum Likh Dia Tha, Ke Jaan Ke Badle Jaan Aur Ankh Ke Badle Aankh Aur Naak Ke Badle Naak Aur Kaan Ke Badle Kaan Aur Daant Ke Badle Daant Aur Sab Zakhmon Ka Usi Tarha Badla Hai, Lekin Joh Shakhs Badla Moaaf Kar De Wo Us Ke Liye Kuffara Hoga Aur Joh Khuda Ke Nazil Farmaye Hue Ehkaam Ke Mutabik Hukum Na De, Toh Aise Hi Loug Be Insaaf Hain.
46
Aur Un Paigambaron Ke Baad Unhi Ke Qadmon Par Ham Ne Eesaa Ibn-E-Maryam Ko Bhaija Joh Apne Se Pehle Ki Kitaab Touraaat Ki Tasdeeq Karte The, Aur Un Ko Injeel Inayat Ki Jis Main Hidayat Aur Noor Hai Aur Touraat Ki, Joh Us Se Pehli Kitaab Hai, Tasdeeq Karti Hai Aur Parhaizgaron Ko Raah Batati Aur Naseehat Karti Hai.
47
Aur Ehl-E-Injeel Ko Chahiye Ke Joh Ehkaam Khuda Ne Us Main Nazil Farmaye Hain Us Ke Mutabik Hukum Dia Karen Aur Joh Khuda Ke Nazil Kiye Hue Ehkaam Ke Mutabik Hukum Na De Ga Toh Aise Loug Nafarmaan Hain.
48
Aur Ae Paigambar! Hum Ne Tum Par Sachi Kitaab Nazil Ki Hai Joh Apne Se Pehli Kitabon Ki Tasdeeq Karti Hai, Aur Un Sab Par Shamil Hai, Toh Joh Hukum Khuda Ne Nazil Farmaya Hai Us Ke Mutabiq Un Ka Faisla Karna Aur Haq Joh Tumahre Paas Aa Chuka Hai Us Ko Chor Kar Un Ki Khaahishon Ki Pairwi Na Karma, Ham Ne Tum Main Se Har Aik Firqe Ke Liye Aik Dastoor Aur Tareeqa Muqarrar Kia Hai Aur Agar Khuda Chahta Toh Tum Sab Aik Hi Sharieeat Par Kar Deta, Magar Joh Hukum Us Ne Tum Ko Diye Hain, Un Main Wo Tumhari Aazmaaish Karna Chahta Hai So Naik Kamon Main Jaldi Karo, Tum Sab Ko Khuda Ki Taraf Lout Kar Jana Hai, Phir Jin Baton Main Tum Ko Ikhtilaaf Tha Wo Tumko Bata De Ga.
49
Aur Ham Phir Takeed Karte Hain Ke Joh Hukum Khuda Ne Nazil Farmaya Hai Usi Ke Mutabiq Un Main Faisla Karma, Aur Un Ki Khwahishon Ki Pairwi Na Karna Aur Un Se Bachte Rehna, Ke Kisi Hukum Se Joh Khuda Ne Tum Par Nazil Farmaya Hai, Yeh Kaheen Tum Ko Behka Na Dain, Agar Ye Na Maanain Toh Jaan Lo Ke Khuda Chahata Hai, Ke Un Ke Baz Gunahon Ke Sabab Un Par Museebat Nazil Kare, Aur Aksar Loug Toh Nafarmaan Hain.
50
Kia Yeh Zamana-E-Jaahliyat Ke Hukum Ke Khuahish Mand Hain ? Aur Joh Yaqeen Rakhte Hai Un Ke Liye Khuda Se Acha Hukum Kis Ka Hai?
51
Ae Eemaan Walo! Yahood Aur Nasara Ko Dost Na Banao. Yeh Aik Doosre Ke Dost Hain Aur Joh Shakhs Tum Main Se Unko Dost Banaye Ga Wo Bhi Unhi Main Se Hoga. Beshak Khuda Zalim Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
52
Toh Jin Lougon Ke Dilon Main Nifaaq Ka Marz Hai, Tum Un Ko Daikho Ge Ke Un Main Dour Dour(Bhaag Bhaag Kar) Ke Mile Jate Hain, Kehte Hain Ke Hamain Khof Hai Ke Kaheen Ham Par Zamane Ki Gardish Na Aa Jaye, So Qareeb Hai Ke Khuda Fatah Bhaije, Ya Apne Haan Se Koi Aur Amar Nazil Farmaye, Phir Ye Apne Dil Ki Baton Par Joh Chupaya Karte The, Pashaimaan Ho Kar Reh Jaye Ge.
53
Aur Us Waqt Musalmaan Taajuub Se Kahian Ge, Ke Kia Yeh Wo Hi Hain Joh Khuda Ki Sakht Sakht Qasmain Khaya Karte The, Ke Ham Tumhare Sath Hain Un Ke Amal Akarat(Bekaar) Gaye Aur Wo Khasare Main Par Gaye.
54
Ae Eemaan Walo Agar Koi Tum Main Se Apne Deen Se Phir Jaye Ga Toh Khuda Aise Loug Paida Kar De Ga Jin Ko Wo Dost Rakhe, Aur Jise Wo Dost Rakhen Aur Joh Mominon Ke Haq Main Narmi Karain Aur Kafiron Se Sakhti Se Paish Ayein, Khuda Ki Raah Main Jahaad Karein Aur Kisi Malamat Karne Wale Ki Malamat Se Na Darein, Yeh Khuda Ka Fazal Hai Wo Jisse Chahata Hai Deta Hai, Aur Khuda Bari Kushaaish Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
55
Tumhare Dost Toh Khuda Aur Us Ke Paigambar Aur Momin Loug Hi Hain Joh Namaaz Parhte Aur Zakaat Dete Aur Khuda Ke Aage Jhukte Hain.
56
Aur Joh Shakhs Khuda Aur Us Ke Paigambar Aur Momino Se Dosti Kare Ga, Toh Wo Khuda Ki Jamaat Main Dakhil Hoga, Aur Khuda Ki Jamaat Hi Ghalba Pane Wali Hai.
57
Ae Eemaan Walo! Jin Lougon Ko Tum Se Pehle Kitabain Di Gai Theen Un Ko Aur Kafiron Ko Jinhon Ne Tumhare Deen Ko Hansi Aur Khail Bana Rakha Hai, Dost Na Banao Aur Momin Ho Toh Khuda Se Darte Raho.
58
Aur Jab Tum Loug Namaz Ke Liye Azaan Dete Ho, Toh Yeh, Usse Bhi Hansi Aur Khail Banaate Hain, Yeh Isliye Ke Samajh Nahi Rakhte.
59
Kaho Ke Ae Ehl-E-Kitaab ! Tum Ham Main Buraye Hi Kia Daikhte Ho Siwa Us Ke Ke Ham Khuda Par, Aur Joh Kitaab Ham Par Nazil Hui Us Par, Aur Joh Kitaabain Pehle Nazil Hueen Un Par Eemaan Laye Hain, Aur Tum Main Aksar Bad Kirdaar Hain.
60
Kaho, Ke Main Tumhain Bataoon, Ke Khuda Ke Haan Us Se Bhi Bad Tar Jaza Pane Wale Koun Hain? Wo Loug Hain Jin Par Khuda Ne Laanat Ki, Aur Jin Par Wo Gazabnaak Hua, Aur Jin Ko Un Main Se Bandar Aur Sooar Bana Dia Aur Jin Hon Ne Shiataan Ki Paristish Ki Aise Lougon Ka Bura Thikana Hai Aur Wo Seedhe Raste Se Bohot Door Hain.
61
Aur Jab Ye Loug Tumhare Paas Aate Hain Toh Kehte Hain Ke Ham Eemaan Le Aye, Halaanke Kufur Le Kar Aate Hain Aur Usi Ko Lekar Jate Hain, Aur Jin Baton Ko Yeh Makhfi (Hidden) Rakhte Hain Khuda Un Ko Khoob Janta Hai.
62
Aur Tum Daikho Ge Ke Un Main Aksar Gunnah Aur Ziaadti Aur Haraam Khane Main Jaldi Kar Rahe Hain, Be Shak Yeh Joh Kuch Karte Hain Bura Karte Hain.
63
Bhala Un Ke Mashaaikh Aur Ulmaa Unhain Gunnah Ki Baton Aur Haraam Khane Se Mana Kion Nahi Karte, Bila Shuba Wo Bhi Bura Karte Hain.
64
Aur Yahood Kehte Hain Ek Khuda Ka Hath Garden Se Bandha Hua Hai Yaani Allah Bakheel Hai (Naaooz-O-Billah) Un Hi Ke Hath Bandhe Jaye, Aur Aisa Kehne Ke Sabab Un Par Laanat Ho, Balke Us Ke Dono Hath Khule Hain Wo Jis Tarha Aur Jitna Chahata Hai Kharch Karta Hai, Aur Ae Muhammad S.A.W. Yeh Kitaab Joh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Tum Par Naazil Hui, Is Se Un Main Se Aksar Ki Shararat Aur Inkaar Aur Barhe Ga, Aur Ham Ne Un Ke Baham, Adawat Aur Buguz Qiamat Tak Ke Liye Daal Dia Hai Yeh Jab Laraye Ke Liye Aag Jalate Hain Khuda Us Ko Bujha Deta Hai Aur Yeh Mulk Main Fisaad Ke Liye Dorte Phirte Hain Aur Khuda Fisaad Karne Walon Ko Dost Nahi Rakhta.
65
Aur Agar Ehl-E-Kitaab Eeman Late Aur Parhaiz Gaari Karte Toh Ham Un Se Un Ke Gunnah Mehev Kar Dete Aur Un Ko Naimat Ke Baaghon Main Dakhil Karte.
66
Aur Agar Wo Touraat Aur Injeel Ko, Aur Joh Aur Kitaabain Un Ke Parwardigar Ki Taraf Se Un Par Naazil Hui Un Ko Qaaim Rakhte, Toh Un Par Rizq Meena(Like Rain) Ki Tarha Barista, Ke Apne Oopar Se Paaon Ke Neeche Se Khate, Un Main Kuch Loug Miyana Ro (Balanced) Hain Aur Bohot Se Aise Hain Jin Ke Aamaal Bure Hain.
67
Ae Paigambar Joh Irshaadaat Khuda Ki Taraf Se Tum Par Nazil Hue Hain Sab Lougon Ko Pohoncha Do, Aur Agar Aisa Na Kia, Toh Tum Khuda Ke Paigaam Pohonchane Main Qaasir Rahe, Yaani Paigambari Ka Farz Ada Na Kia, Aur Khuda Tum Ko Lougon Se Bachaye Rakhe Ga, Beshak Khuda Munkiron Ko Hidayat Nahi Karta.
68
Kaho Ke Ae Ehl-E-Kitaab! Jab Tak Tum Touraat Aur Injeel Ko Aur Joh Aur Kitaabain Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Tum Lougon Par Naazil Hueen, Un Ko Qaaim Na Rakho Ge, Kuch Bhi Raah Par Nahi Ho Sakte. Aur Yeh Quraan Joh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Tum Par Naazil Hua Hai Us Se Un Main Se Aksar Ki Sarkashi Aur Kufur Aur Barhe Ga, Toh Tum Qoum-E-Kufaar Par Afsos Na Karo.
69
Joh Loug Khuda Par Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Layen Ge, Aur Amal Naik Karen Ge, Khuah (Beshak) Wo Musalmaan Houn Ya Yahoodi Ya Sitara Parast Ya Eesaayee, Un Ko Qiamat Ke Din Na Kuch Khof Ho Ga Aur Na Gamnaak Hounge.
70
Ham Ne Bani Israail Se Ehed Bhi Liya, Aur Un Ki Taraf Paigambar Bhi Bhaije, Lekin Jab Koi Paigambar Un Ke Paas Aisi Batain Le Kar Aata Jin Ko Un Ke Dil Nahi Chahte The, Toh Wo Ambia Ki Aik Jamaat Ko Toh Jhutla Dete, Aur Aik Jamaat Ko Qatal Kar Dete The.
71
Aur Yeh Khayal Karte The Ke Is Se Un Par Koi Aafat Nahi Aane Ki, Toh Wo Andhe Aur Behre Ho Gaye Phir Khuda Ne Un Par Meherbaani Farmayee Lekin Phir Un Main Se Bohot Se Andhe Aur Behre Ho Gaye Aur Khuda Un Ke Sab Kamon Ko Daikh Raha Hai.
72
Wo Loug Be Shak Kaafir Hain Joh Kehte Hain, Ke Maryam Ke Bete Eesaa Maseeh Khuda Hain, Halaanke Maseeh Yahood Se Ye Kaha Karte The Ke Ae Bani Israail Khuda Hi Ki Ibadat Karo Joh Mera Bhi Parwardigar Hai Aur Tumhara Bhi, Aur Jaan Rakho Ke Joh Shakhs Khuda Ke Sath Shirk Kare Ga Khuda Us Par Behshat Ko Haraam Kar De Ga, Aur Us Ka Thikana Dozakh Hai Aur Zalimon Ka Koi Madadgaar Nahi.
73
Wo Loug Bhi Kafir Hain Joh Is Baat Ke Qaail Hain, Ke Khuda Teen Main Ka Teesra Hai Halanke Us Maabood Yakta (Only One) Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi, Agar Ye Loug Aise Aqwaal-O-Aqaaid Se Baaz Nahi Ayen Ge Toh Un Main Se Joh Kaafir Hue Hain Wo Takleef Dene Wala Azaab Payen Ge.
74
Toh Yeh Kion Khuda Ke Aage Touba Nahi Karte, Aur Us Se Gunaahon Ki Moaafi Nahi Mangte, Aur Khuda Toh, Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
75
Maseeh Ibn-E-Maryam Toh Sirf Khuda Ke Paigambar The, Un Se Pehle Bhi Bohot Se Rasool Guzar Chuke The Aur Un Ki Waalda Maryam Khuda Ki Wali Aur Sachi Farmabardaar Theen, Dono Insan The Aur Khana Khate The, Daikho Ham Un Lougon Ke Liye Apni Aayatain Kis Tarha Khol Khol Kar Biyaan Karte Hain, Phir Ye Daikho Ke Ye Kidhar Ulte Ja Rahe Hian.
76
Kaho Ke Tum Khuda Ke Siwa Aisi Cheez Ki Kion Parastish Karte Ho Jis Ko Tumhare Nafa Aur Nuqsan Ka Kuch Bhi Ikhtiyaar Nahi? Aur Khuda Hi Sab Kuch Sunta Jaanta Hai.
77
Kaho Ke Ae Ehl-E-Kitaab! Apne Deen Ki Baat Main Nahaq Mubalgha (Shak) Na Karo Aur Aise Lougon Ki Khuahishon Ke Peeche Na Chalo Joh Khud Bhi Pehle Gumrah Hue Aur, Aur Bhi Aksar Logoun Ko Gumrah Kar Gaye Aur Seedhe Raste Se Bhatak Gaye.
78
Joh Loug Bani Israail Main Kafir Hue Un Par Daawood Aur Eesa Bin Maryam Ki Zabaan Se Laanat Ki Gai, Yeh Is Liye Ke Na Farmani Karte The Aur Had Se Tajawuz Kiye Jate The.
79
Aur Bure Kamon Se Joh Wo Karte The Aik Doosre Ko Rokte Nahi The Bila Shuba Wo Bura Karte The.
80
Tum Un Main Se Bohoton Ko Daikho Ge, Ke Kafiron Se Dosti Rakhte Hain, Unhon Ne Joh Kuch Apne Aage Bhaija Hai Bura Hai, Wo Yeh Ke Khuda Un Se Na Khush Hua Aur Wo Hamesha Aazaab Main Mubtila Rahain Ge.
81
Agar Wo Khuda Par Aur Paigambar Par Aur Joh Kitaab Un Par Naazil Hui Thi Us Par Yaqeen Rakhte, Toh Un Lougon Ko Dost Na Banate, Lekin Un Main Aksar Badkirdaar Hain.
82
Ae Paigambar! Tum Daikho Ge Ke Momino Ke Sath Sab Se Ziada Dushmani Karne Wale Yahoodi Aur Mushrik Hain, Aur Dosti Ke Lehaaz Se Mominon Se Qareeb Tar Un Lougon Ko Paao Ge, Joh Kehte Hain Ke Ham Nasara Hain, Yeh Is Liye Ke Un Main Aalim Bhi Hain Aur Mashaaikh Bhi, Aur Wo Takabbur Nahi Karte.
83
Aur Jab Is Kitaab Ko Sunte Hain, Joh Sab Se Pichle Paigambar Muhammad S.A.W. Par Nazil Hue, Toh Tum Daikhte Ho Ke Un Ki Aankhoun Se Aansoo Jaari Ho Jate Hain, Is Liye Ke Unhon Ne Haq Baat Pehchaan Li, Aur Wo Khuda Ki Janaab Main Arz Karte Hain Ke Ae Parwardigar Ham Eemaan Le Aye Tu Ham Ko Maan-Ne Waloun Main Likh Le.
84
Aur Hamain Kia Hua Hai Ke Khuda Par Aur Haq Baat Par Joh Hamare Paas Ayei Hai Eemaan Na Laayen, Aur Ham Umeed Rakhte Hain Ke Parwardigaar Hum Ko Naik Bandoun Ke Sath Behshat Main Dakhil Kare Ga.
85
Toh Khuda Ne Un Ko Is Kehne Ke Iwz Behshat Ke Bagh Ata Farmaye, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Wo Hamesha Un Main Rahian Ge, Aur Naiko Kaaron Ko Yeh Hi Sila Hai.
86
Aur Jin Lougon Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayaton Ko Jhutlaya Wo Jahanumi Hain.
87
Momino! Joh Pakeeza Cheezain Khuda Ne Tumhare Liye Halaal Ki Hain Un Ko Haraam Na Karo, Aur Had Se Na Barho Ke Khuda Had Se Barhne Waloun Ko Dost Nahi Rakhta.
88
Aur Joh Halaal Taiyab Rozi Khuda Ne Tum Ko Di Hai, Usse Khao Aur Khuda Se Jis Par Eemaan Rakhte Ho Darte Raho.
89
Khuda Tumhare Be Irada Qasmaon Par Tum Se Mawakhada Nahi Kare Ga, Lekin Pukhta Qasmaon Par, Jin Ke Khilaaf Karo Ge Mawakhada Kare Ga, Toh Us Ka Kuffara Das Mohtajoun Ka Osat Darje Ka Khana Khilana Hai, Joh Tum Apne Ehl-O-Ayaal Ko Khilate Ho, Ya Un Ko Kapre Dena Ya Aik Gulaam Azaad Karna, Aur Jis Ko Moyassar Na Ho, Wo Teen Roze Rakhe, Yeh Tumhari Qasmaon Ka Kuffara, Hai Jab Tum Qasam Kha Lo Aur Use Tor Do Aur Tum Ko Chahiye Ke Apni Qasmaon Ki Hifazat Karo, Is Tarha Khuda Tumhare Samjhane Ke Liye Apni Aayatain Khol Khol Kar Baiayaan Fermata Hai Taa-Ake Tum Shukar Karo.
90
Ae Eemaan Walo! Sharaab Aur Jua Aur Butt Aur Paanse Yeh Sab Napaak Kaam, Aamaal-E-Shaitaan Se Hain So In Se Bachte Rehna Taa-Ake Nijaat Pao.
91
Shaitaan Toh Yeh Chahta Hai Ke Sharab Aur Jooye Ke Sabab Tumahre Aapas Main Dushmani Aur Ranjish Dalwa De, Aur Tumhain Khuda Ki Yaad Se Aur Namaaz Se Rok De Toh Tum Ko In Kamoun Se Baaz Rehna Chahiye.
92
Aur Khuda Ki Farmabardari Aur Rasool-E-Khuda Ki Itaa-At Karte Raho Aur Darte Raho, Agar Moonh Phairo Ge
Toh Jaan Rakho Ke Hamare Paigambar Ke Zimme Toh Sirf Paigaam Ka Khol Kar Pohoncha Dena Hai.
93
Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe Un Par Un Cheezoun Ka Kuch Gunnah Nahi, Joh Wo Kha Chuke, Jab Ke Unhon Ne Parhaiz Kia Aur Eemaan Laye Aur Naik Kaam Kiye, Phir Parhaiz Kia Aur Eemaan Laye, Phir Parhaiz Kia Aur Naiko Kaari Ki, Aur Khuda Naiko Kaaron Ko Dost Rakhta Hai.
94
Momino! Kisi Qadar Shikaar Se Jin Ko Tum Hathon Aur Naizon Se Pakar Sako Khuda Tumahri Aazmaaish Kare Ga, Yaani Halat-E-Ehraam Main Shikar Ki Mumaniyat(Rok Kar) Se, Taa-Ake Maloom Kare Ke Us Se Gaibaana Koun Darta Hai, Toh Joh Us Ke Baad Ziaadti Kare Us Ke Liye Dukh Dene Wala Azab Taiyaar Hai.
95
Momino! Jab Tum Ehraam Ki Halat Main Ho Toh Shikaar Na Marna Aur Joh Tum Main Se Jaan Boojh Kar Usse Mare. Toh , Ya Toh Us Ka Badla De Aur Wo Yeh Hai Ke Usi Tarha Ka Chaar Paaya Jisse Tum Main Do Mooatabar (Respectable) Shakhs Muqarrar Kar Dain Qurbani Kare Aur Yeh Qurbani Kaabe Pohonchayee Jaye Ya Kuffara De Aur Wo Miskeenon Ko Khana Khilana Hai Ya Us Ke Barabar Roze Rakhe Taa-Ake Apne Kaam Ki Saza Ka Mazah Chakhe Aur Joh Pehle Ho Chukka Wo Khuda Ne Moaaf Kar Dia Aur Joh Phir Aik Sa Kaam Kare Ga Toh Khuda Uss Se Intiqaam Lene Wala Hai.
96
Tumhare Liye Darya Ki Cheezon Ka Shikaar Aur Un Ka Khana Halaal Kar Dia Gaya Hai Yaani Tumhare Musafiron Ke Faaide Ke Liye Aur Jungle Ki Cheezon Ka Shikar Jab Tak Tum Ehraam Ki Halat Main Raho Tum Par Haraam Hai Aur Khuda Se Jis Ke Paas Tum Sab Jama Kiye Jao Ge Darte Raho.
97
Khuda Ne Izzat Ke Ghar Yaani Kaabe Ko Lougon Ke Liye Mooujab-E-Aman Muqarrar Farmaya Hai Aur Izzat Ke Maheenon(Months) Ko Aur Qurbani Ko Aur Un Janwaroun(Animals) Ko Jin Ke Gale(Neck) Main Patte Bandhe Houn, Yeh Isliye Ke Tum Jaan Lo Ke Joh Kuch Aasmaano Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Khuda Sab Ko Jaanta Hai Aur Ye Ke Khuda Ko Har Cheez Ka Ilm Hai.
98
Jaan Rakho! Ke Khuda Sakht Azaab Dene Wala Hai Aur Yeh Ke Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Bhi Hai.
99
Paigambar Ke Zimme Toh Sirf Paigaam-E-Khuda Ka Pohoncha Dena Hai, Aur Joh Kuch Tum Zaahir Karte Ho Aur Joh Kuch Makhfi Karte Ho Khuda Ko Sab Malooom Hai.
100
Keh Do Ke Napaak Cheezain Aur Paak Cheezain Barabar Nahi Hoteen, Go Napaak Cheezon Ki Kasrat Tumhain Khush Hi Lage Toh Aqal Walo Khuda Se Darte Raho Taa-Ake Rastgaari Hasil Karo.
101
Momino! Aisi Cheeezon Ke Bare Main Mat Sawal Karo Ke Agar Un Ki Haqeeqatain Tum Par Zahir Kar Di Jaye Toh Tumhain Buri Lagaain Aur Agar Quraan Ke Nazil Hone Ke Aaiyaam(Days) Main Aisi Batain Poocho Ge, Toh Tum Par Zaahir Bhi Kar Di Jaye Gi, Ab Toh Khuda Ne Aisi Baton Ke Poochne Se Darguzar Farmaya Hai Aur Khuda Bakhashne Wala Burdbaar Hai.
102
Is Tarha Ki Batain Tum Se Pehle Lougon Ne Bhi Poochi Theen Magar Jab Batayee Gayee Toh Phir Un Se Munkir Ho Gaye.
103
Khuda Ne Na Toh Baheera, Kuch Chez Banaya Hai, Aur Na Saaiba Aur Na Waseela Aur Na Haam, Balke Kafir Khuda Par Jhoot Iftara Karte Hain Aur Yeh Aksar Aqal Nahi Rakhte.
104
Aur Jab Un Lougon Se Kaha Jata Hai Ke Joh Kitaab Khuda Ne Nazil Farmayee Hai Us Ki Aur Rasool Allah Ki Taraf Rujoo Karo Toh Kehte Hain Ke Jis Tareeq Par Ham Ne Apne Baap Dada Ko Paya Hai Wohi Hamain Kaafi Hai, Bhala Agar Un Ke Baap Dada Ne Toh Kuch Jaante Houn Aur Na Sedhe Raste Par Houn Tab Bhi?
105
Ae Eemaan Walo!Apni Janon Ki Hifazat Karo, Jab Tum Hidayat Par Ho, Toh Koi Gumraah Tumhara Kuch Bhi Bigaar Nahi Sakta, Tum Sab Ko Khuda Ki Taraf Lout Kar Jana Hai, Us Waqt Wo Tum Ko Tumhare Sab Kamon Se, Joh Dunia Main Kiye The Aagaah Kare Ga Aur Un Ka Badla De Ga.
106
Momino! Jab Tum Main Se Kisi Ki Mout Aa Mojood Ho Toh Shahadat Ka Nisaab Yeh Hai Ke, Wasiyat Ke Waqat Tum Musalmanon Main Se Do Mard Aadil Yaani Sahib-E-Aitbaar Gawah Houn, Ya Agar Musalmaan Na Milan Aur Tum Safar Kar Rahe Ho Aur Us Waqt Tum Par Mout Ki Museebat Waqe Ho, Toh Kisii Doosre Mazhab Ke Do Shakhson Ko Gawah Kar Lo, Agar Tum Ko Un Gawahon Ki Nisbat Kuch Shak Ho Toh Un Ko Asar Ki Namaz Ke Baad Khara Karo Aur Dono Khuda Ki Qasmain Khayen, Ke Ham Shahadat Ka Kuch Iwz Nahi Lainge ,Go Hamara Rishta Daar Hi, Aur Na Ham Allah Ki Shahadat Ko Chupayen Ge Agar Aisa Karain Ge Toh Gunnehgaar Hounge.
107
Phir Agar Maloom Ho Jaye Ke Un Dono Ne Jhoot Bol Kar Gunnah Hasil Kia Hai, Toh Jin Lougon Ka Unhon Ne Haq Marna Chaha Tha Un Main Se Un Ki Jaga Aur Do Gawah Khare Houn, Joh Maiyat (Dead Body) Se Qarabat-E-Qareeba Rakhte Houn, Phir Wo Khuda Ki Qasmain Khayen Ke Hamare Shahadat Un Ki Shahadat Se Bohot Sachi Hai Aur Ham Ne Koi Ziaadti Nahi Ki, Aisa Kia Ho Toh Ham Be Insaaf Hain.
108
Is Tareeqe Se Bohot Qareeb Hai Key Yeh Loug Saheeh Saheeh Shahadat Dain, Ya Is Baat Se Khof Karen, Ke Hamari Qasmain Un Ki Qasmoan Ke Baad Rad Kar Di Jayen Gi, Aur Khuda Se Daro Aur Us Ke Hukmoun Ko Gosh-E-Hosh Se Suno Aur Khuda Na Farmaan Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
109
Wo Din Yaad Rakhne Ke Laaiq Hai Jis Din Khuda Paigambaron Ko Jama Kare Ga, Phir Un Se Pooche Ga Ke Tumhain Kia Jawab Mila Tha, Wo Arz Karen Ge Ke Hamain Kuch Maloom Nahi Tu Hi Gaib Ki Batoun Se Waqif Hai.
110
Jab Khuda Eesa Se Farmaye Ga, Ke Ae Eesa Ibn-E-Maryam! Mere Un Ehsanon Ko Yaad Karo Joh Main Ne Tum Par Aur Tumahri Walda Par Kiye, Jab Main Ne Rooh-Ul-Qudoos Yaani Jibrail Se Tumharei Madad Ki, Tum Jhoole Main, Aur Jawan Ho Kar Aik Hi Nasq Par Lougon Se Guftugu Karte The, Aur Jab Main Ne Tum Ko Kitaab Aur Daanayee Aur Touraat Aur Injeel Sikhayee Aur Jab Tum Mere Hukum Se Matti Ka Janwar Bana Kar Us Main Phoonk Maar Dete The Toh Wo Mere Hukum Se Urne Lagta Tha, Aur Maadar Zaad Andhe Aur Safaid Daag Wale Ko Mere Hukum Se Chunga Kar Dete The Aur Murde Ko Mere Hukum Se Zinda Kar Ke Qabar Se Nikaal Karte The Aur Jab Main Ne Bani Israil Ke Hathon Ko Tum Se Rok Dia Jab Tum Un Ke Paas Khuli Hue Nishaan Le Kar Aye Toh Joh Un Main Se Kaafir The Kehne Lage Ke Yeh Sareeh Jaadu Hai.
111
Aur Jab Main Ne Hawwariyon Ki Taraaf Hukum Bhaija Ke Mujh Par Aur Mere Paigambar Par Eemaan Lao, Wo Kehne Lage Ke Parwardigar Ham Eemaan Laye Tu Shaahid Rehiyo Ke Ham Farmabardaar Hain.
112
Wo Qissa Bhi Yaad Karo Jab Hawwariyon Ne Kaha Ke Ae Eesa Ibn-E-Maryam ! Kia Tumahra Parwardigar Aisa Kar Sakta Hai Ke Ham Par Aasmaan Se Toaam(Khana) Ka Khuaan Nazil Kare?
Unhon Ne Kaha Ke Agar Eemaan Rakhte, Ho Toh Khuda Se Daro.
113
Wo Bole Ke Hamari Yeh Khuahish Hai Ke Ham Us Main Se Khayen Aur Hamre Dil Tassali Payen Aur Ham Jaan Lain Ke Tum Ne Ham Se Sach Kaha Hai, Aur Ham Us Khuaan Ke Nazool Par Gawah Rahain.
114
Tab Eesa Ibn-E-Maryam Ne Dua Ki Ke Ae Parwardigaar! Ham Par Asmaan Se Khuaan Nazil Farma Ke Hamare Liye Wo Din Eid Qaraar Paye Yaani Hamare Agloun Aur Pichloun Sab Ke Liye Aur Wo Teri Taraf Se Nishani Ho Aur Hamain Rizq De, Tu Behtar Rizq Dene Wala Hai.
115
Khuda Ne Farmaya Main Tum Par Zaroor Khuaan Nazil Farmaaon Ga Lekin Joh Is Ke Baad Tum Main Se Kufur Kare Ga Usse Aisa Azaab Doon Ga Ke Ehl-E-Aalam Main Kisii Ko Aisa Azaab Na Doonga.
116
Aur Us Waqt Ko Bhi Yaad Rakho Jab Khuda Farmaye Ga Ke Ae Eesa Ibn-E-Maryam! Kia Tum Ne Lougon Se Kaha Tha Ke Khuda Ke Siwa Mujhe Aur Meri Waadla Ko Mabood Muqarrar Karo? Wo Kahain Ge Ke Tu Paak Hai, Mujhe Kab Shaayan Tha, Ke Main Aisi Baat Kehta Jis Ka Mujhe Kuch Haq Nahi, Agar Main Ne Aisa Kaha Hoga Toh Tujh Ko Maloom Hoga, Kion Ke Jo Baat Mere Dil Main Hai Tu Usse Janta Hai Aur Joh Tere Zameer Main Hai Use Main Nahi Janta Be Shak Tu Allam-Ul-Gayoob Hai.
117
Main Ne Un Se Kuch Nahi Kaha Bajuz Is Ke Jis Ka Tu Ne Mujhe Hukum Dia Hai Wo Yeh Ke Tum Khuda Ki Ibadat Karo Joh Mera Aur Tumhara Sab Ka Parwardigar Hai Aur Jab Tak Main Un Main Raha Un Ke Halat Ki Khabar Rakhta Raha Jab Tu Ne Mujhe Dunia Se Utha Liya Toh Tu Un Ka Nigaraan Tha Aur Tu Har Cheez Se Khabardar Hai.
118
Agar Tu Un Ko Azaab De Toh Yeh Tere Bande Hain Agar Bakhsh De Toh Teeri Meherbani Hai, Be Shak Tu Gaalib Aur Hikmat Wala Hai.
119
Khuda Farmaye Ga Ke Aaj Wo Din Hai Ke Raast Bazoun Ko Un Ki Sachayee Hi Faaida De Gi, Un Ke Liye Baagh Hain Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Abad-Ul-Abaad Un Main Baste Rahainge Khuda Un Se Khush Hai Aur Wo Khuda Se Khush Hain, Ye Bari Kaamyabi Hai.
120
Aasmaan aur zameen aur joh kuch in dono main hai sab par khuda hi ki baadshahi hai aur wo har cheez par qaadir hai.
—Sadaqallah-UL-Azeem—
No comments:
Post a Comment