(Sura-Aanam Makka mai Nazil hui, is mai aikso-pansath (165) Aayatain hain)
1
Har Tarha Ki Tareef Khuda Hi Ko Saza Waar Hai, Jis Ne Aasmanon Aur Zameen Ko Paida Kia, Aur Andhaira Aur Roshni Banaye Phir Bhi Kafir Aur Cheezoun Ko Khuda Ke Barabar Tehrate Hain.
2
Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Matti (Mudd) Se Paida Kia, Phir Marne Ka Aik Waqt Muqarrar Kar Dia, Aur Aik Muddat Us Ke Haan Aur Muqarrar Hai, Phir Bhi Tum Ae Kaafiro Khuda Ke Bare Main Shak Karte Ho.
3
Aur Aasmano Aur Zameen Main Wo Hi Aik Khuda Haii Tumahri Poshida Aur Zahir Sab Batain Janta Hai, Aur Tum Joh Amal Kartre Ho Sab Se Waqif Hai.
4
Aur Khuda Ki Nishaniyon Main Se Koi Nishani Un Lougon Ke Paas Nahi Aati Magar Ye Is Se Moonh (Face) Phair Lete Hain.
5
Jab Un Ke Paas Haq Aaya Toh Us Ko Bhi Jhutla Dia, So Un Ko Un Cheezon Ka, Jin Se Yeh Istehza Karte Hain Anqareeb Anjaam Maloom Ho Jaye Ga.
6
Kia Unhon Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Un Se Pehle Kitni Ummaton Ko Halak Kar Dia Jin Ke Paaoun,(Feet) Mulk Main Aise Jama Diye The Ke Tumhare Paaon (Feet) Bhi Aise Nahi Jamaye, Aur Un Par Aasmaan Se Lagataar(Continuesly) Meenh (Rain) Barsaya Aur Nehrain (Lakes) Bana Deen Joh Un Ke Makaanon (Houses) Ke Neeche Beh Rahi Theen, Phir Unko Un Ke Gunahon Ke Sabab Halaak Kar Dia, Aur Un Ke Baad Aur Ummatain Paida Kar Deen.
7
Aur Agar Ham Tum Par Kaghzoun Par Likhi Hui Kitaab Nazil Karte Aur Ye Usse Apne Hatho Se Tatoul (Brows) Bhi Lete Toh Joh Kafi R Hain Wo Yeh Hi Keh Dete Ke Ye Toh Saaf Aur Sareeh Jaadu Hai.
8
Aur Kehte Hain Ke In Paigambar Par Farishta (Angel) Kion Nazil Na Hua Joh In Ki Taseeq Karta ,Agar Ham Farishta Nazil Karte Toh Kaam Hi Faisal Ho Jata, Phir Unhain Mutliq Mohlat Na Di Jati.
9
Neez Agar Ham Kisi Farishta Ko Bhaijte Toh Usse Mard (Male) Ki Soorat Main Bhaijte Aur Jo Shuba (Shak) Ab Karte Hain Ussi Shube Main Phir Unhain Daal Dete.
10
Aur Tum Se Pehle Bhi Paigambaron Ke Sath Tamaskhar (Joke) Hote Rahe Hain So Joh Loug Un Main Se Tamaskhur Kia Karte The Un Ko Tamaskhur Ki Saza Ne Aa Ghaira.
11
Kaho Ke Ae Munkareen-E-Risalat (Who Don’t Believe On Muhammad) Mulk Main Chalo Phiro Phir Daikho Ke Jhutlane Walon Ka Kia Anjaam Hua.
12
Un Se Poocho Ke Asmaan Aur Zameen Main Joh Kuch Hai Kis Ka Hai, Keh Do Khuda Ka Us Ne Apni Zaat-E-Paak Par Rehmat Ko Laazim Kar Liya Hai, Wo Tum Sab Ko Qiamat Ke Din (Day Of Judgement) Jis Mian Kuch Bhi Shak Nahim Zaroor Jama Kare Ga Jin Lougon Ne Apne Taiyeen (Themselves) Nuqsaan Main Daal Rakha Hai Wo Eemaan Nahi Late.
13
Aur Joh Makhlooq Raat (Night) Aur Dinn (Day) Main Basti Hai Sab Usi Ki Hai Aur Wo Sunta Jaanta Hai.
14
Kaho Kia Main Khuda Ko Chor Kar Kisi Aur Ko Madadgaar Banaoon, Ke Wo Hi Toh Aasmaanon Aur Zameen Ka Paida Karne Wala Hai, Aur Wo Hi Sab Ko Khana Deta Hai Aur Khud Kisi Se Khana Nahi Leta, Ye Bhi Keh Do Ke Mujhe Yeh Hukum Hua Hai K Main Sab Se Pehele Ilsaam Lane Wala Hoon, Aur Yeh Ke Tum Ape Paigambar! Mushrikoun Main Na Hona.
15
Ye Bhi Keh Do Ke Agar Main Apne Parwardigaar Ki Nafarmani (Disobey To Allah) Karoon Toh Mujhe Bare Din Ke Azaab Ka Khof Hai.
16
Jis Shakhs (To Whom) Se Us Roz Azaab Taal Dia Gaya Us Par Khuda Ne Bari Meherbaaani Farmayee Aur Yeh Khuli Kaamyabi Hai.
17
Aur Agar Khuda Tum Ko Koi Sakhti Pohonchaye Toh Us Ke Siwa Us Ko Koi Door Karne Wala Nahi Aur Agar Naimat-O-Raahat Ata Kare Toh Koi Us Ko Rokne Wala Nahi Wo Har Cheez Par Qadir Hai.
18
Aur Wo Apne Bandon Par Gaalib Hai Aur Wo Daana Aur Khabardar Hai.
19
Un Se Poocho Ke Sab Se Barh Kar Qareen Insaaf Kis Ki Shahadat Hai, Keh Do Ke Khuda Hi Mujh Main Aur Tum Main Gawah Hai, Aur Ye Quraan Mujh Par Isliye Utara Gaya Hai Ke Is Zariye Se Tum Ko Aur Jis Shakhs Tak Wo Pohonch Sake Aagah Kar Doon, Kia Tum Loug Is Baat Ki Shahadat Dete Ho Ke Khuda Ke Sath Aur Bhi Maabood Hain, Ae Muhammad S.A.W. Keh Do Ke Main Toh Aisi Shahadat Nahi Deta, Keh Do Ke Sirf Wohi Aik Maabood Hai, Aur Jinko Tum Loug Shareek Banate Ho Main Us Se Baizaar Hoon.
20
Jin Lougon Ko Ham Ne Kitaab Di Hai Wo In Hamare Paigambar S.A.W. Ko Is Tarha Pehchante Hain Jis Tarha Apne Baiton (Son) Ko Pehchana Karte Hain, Jinhon Ne Apne Taieen Nuqsaan Main Daal Rakha Hai Wo Eemaan Nahi Late.
21
Aur Is Shakhs Se Ziada Koun Zalim Hai Jis Ne Khuda Par Jhoot Iftiraa Kia, Ya Us Ki Aayaton Ko Jhutlaya. Kuch Shak Nahi Ke Zaalim Louig Nijaat Nahi Payen Ge.
22
Aur Jis Din Ham Sab Lougon Ko Jama Kare Ge Phir Musrikon Se Poochain Ge Ki Aaj Wo Tumhare Shareek Kahan Hain Jin Ka Tumhain Daawa Tha.
23
Toh Un Se Kuch Uzar (Bahana) Na Ban Pare Ga, Aur Bajuz Is Ke Kuch Chaara Na Hoga, Ke Kahain Khuda Ki Qasam Jo Hamara Parwardigaar Hai Ham Shareek Nahi Banate The.
24
Daikho Unhon Ne Apne Oopar Kaisa Jhoot Bola, Aur Joh Kuch Yeh Iftiraa Kia Karte The Sab Un Se Jata Raha.
25
Aur Un Main Baaz Aise Hain Ke Tumhari Baton Ki Taraf Kaan Rakhte Hain. Aur Ham Ne Un Ke Dilon (Hearts) Par Toh Parde Daal Diye Hain Ke Unko Samajh Na Sakain Aur Kaano Main Saqail Paida Kar Dia Hai Ke Sunn Na Sakain Aur Agar Ye Tamaam Nishaniayan Bhi Daikh Lain Tab Bhi Toh Un Par Eemaan Na Layen. Yahan Tak Ke Jab Tumhare Paas Tum Se Behes Karne Ko Aate Hain, Toh Joh Kafir Hai N Kehte Hain Yeh Quraan Aur Kuch Bhi Nahi Sirf Pehle Lougon Ki Kahaniayan Hain.
26
Wo Is Se Auron Ko Bhi Rokte Hain Aur Khud Bhi Pare Rehte Hain Magar In Baton Se Apne Aap Hi Ko Halaak Karte Hain Aur Is Se Bekhabar Hain.
27
Kaash Tum Un Ko Us Waqt Daikho Jab Yeh Dozakh Ke Kinare Khare Kiye Jaye Ge Aur Kahain Ge Ke Ae Kaash Ham Phir Dunia Main Louta Diye Jayen Taa-Ake Apne Parwardigaar Ki Aayaton Ki Takzeeb Na Karen Aur Momin Ho Jayen.
28
Haan Yeh Joh Kuch Pehle Chupaya Karte The Aaj Un Par Zaahir Ho Gaya Hai Aur Agar Ye Dunia Main Loutaye Bhi Jayen Toh Jin Kamon Se Un Ko Mana Kia Gaya Tha Wo Hi Phir Karne Lagain .Kuch Shak Nahi Ke Ye Jhoote Hain.
29
Aur Kehte Hain Ke Hamari Joh Dunia Ki Zindagi Hai Bas Yeh Hi Zindagi Hai, Aur Ham Marne Ke Baad Phir Zinda Nahi Kiye Jayen Ge.
30
Aur Kaash Tum Un Ko Us Waqt Daikho Jab Ye Apne Parwardigaar Ke Saamne Khare Kiye Jaye Ge, Aur Wo Farmaye Ga Kia Ye Dobara Zinda Hona Bar Haq Nahi, Toh Kahain Ge Kion Nahi, Parwardigar Ki Qasam Bilkul Bar Haq Hai, Khuda Farmaye Ga Ab Kufur Ke Badle Joh Dunia Main Kia Karte The Azaab Ke Maze Chakkho.
31
Jin Lougon Ne Khdua Ke Ru Baru Khare Hone Ko Jhooot Samjha Wo Ghaate (Nuqsaan) Main Aa Gaye. Yahan Tak Ke Jab Un Par Qiamat Nagahaan Aa Moujood Ho Gi Toh Bol Uthain Ge, Ke Haye Us Taqseer Par Afsos Hai Jo Ham Ne Qiamat Ke Bare Main Ki.Aur Wo Apne Amaal Ke Bojh Apni Peethoun (Back) Par Uthaye Hue Honge.Daikho Jo Bojh Ye Utha Rahe Hain Bohot Bura Hai.
32
Aur Dunia Ki Zindagi Toh Aik Khail Aur Mashghla Hai.Aur Bohot Acha Ghar Toh Aakhrat Ka Ghar Hai Yaani Un Ke Liye Joh Khuda Se Darte Hain. Kia Tum Samajhte Nahi?
33
Ham Ko Maloom Hai Ke In Kaafiron Ki Baatain Tumhain Ranj (Dukh) Pohonchati Hain Magar Ye Tumahrei Takzeeb Nahi Karte Balke Zalim, Khuda Ki Aayaton Se Inkar Karte Hain.
34
Aur Tum Se Pehle Bhi Paigambar Jhutlaaye Jate Rahe Toh Wo Takzeeb Aur Eeza(Takleef/Pain) Par Sabar Karte Rahe Yahan Tak Ke Un Ke Paas Hamari Madad Pohonchti Rahi Aur Khuda Ki Baton Ko Koi Bhi Badalne Wala Nahi.Aur Tumko Paigambaron Ke Ehwaal (Halaat) Ki Khabarain Pohonch Chuki Hain Toh Tum Bhi Sabar Se Kaam Lo.
35
Aur Agar Un Ki Ruu Gardani Tum Par Shaaq Guzarti Hai Toh Agar Taqat Ho Toh Zameen Main Koi Suranng Dhoond Nikalo, Ya Aasmaan Main Seerhi Talash Karo, Phir Un Ke Paas Koi Moujza Laao. Aur Agar Khuda Chahata Toh Sab Ko Hidayat Par Jama Kar Deta Pas Tum Har Gizz Naddano Main Na Hona.
36
Baat Yeh Hai Ke Haq Ko Qabool Wohi Karte Hain Joh Sunte Bhi Hain, Aur Murdoun (Dead) Ko Toh Khuda Qiamat Hi Ko Uthay Ga. Phir Usi Ki Taraf Lout Kar Jayen Ge.
37
Aur Kehte Hain Ke Un Par Un Ke Parwardigaar Ke Paas Se Koi Nishani Kion Nazil Nahi Hui. Keh Do Ke Khuda Nishani Utaarne Par Qaadir Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jante.
38
Aur Zameen Main Joh Chalne Phirne Wala Haiwaan (Animal) Ya Do Paron (Feather) Se Urne Wala Janwar Hai Un Ki Bhi Tum Lougon Ki Tarha Jamaatain (Groups) Hain. Ham Ne Kitaab Yaani Loh-E-Mehfooz Main Kisi Chez Ke Likhne Main Kotahi(Mistake) Ki Nahi Phir Sab Apne Parwardigaar Ki Taraf Jama Kiye Jayen Ge.
39
Aur Jin Lougon Ne Hamari Aayaton Ko Jhutlaya Wo Behre Aur Goonge Hain, Is Ke Ilawa Andhaire Main Pare Hue Jis Ko Khuda Chahe Gumrah Kar De, Aur Jisse Chahte Seedhi Raste Par Chala De.
40
Kaho Kafiro Bhala Daikho To Agar Tum Par Khuda Ka Azaab Aa Jaye Ya Qiamat Aa Mojood Ho Toh Kia Tum Aisi Halat Main Khuda Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaro Ge? Agar Ache Ho Toh Bataow.
41
Nahi Balke Museebat Ke Waqt Tum Usi Ko Pukarte Ho, Toh Jis Dukh Ke Liye Use Pukarte Ho, Woh Agar Chahata Hai Toh Us Ko Door Kar Deta Hai Aur Jin Ko Tum Shareek Banate Ho Us Waqt Unhain Bhool Jate Ho.
42
Aur Ham Ne Tum Se Pehle Bohot Si Ummatoun Ki Taraf Paigambar Bhaije .Phir Un Ki Nafarmaaniyon Ke Sabab Ham Unhain Sakhtiyon Aur Takleefon Main Pakarte Rahe Taa-Ake Aajzi Karen.
43
Toh Jab Un Par Hamara Azaab Aata Raha Kion Nahi Aajzi Karte Rahe. Magar Un Ke Toh Dil Hi Sakhat Ho Gaye The. Aur Joh Kaam Wo Karte The Shaitaan Unko Un Ki Nazron Main Aaraasta Kar Dikhata Tha.
44
Phir Jab Unhon Ne Us Naseehat Ko Joh Un Ko Ki Gai
Thi Farmaosh Kar Dia, Toh Ham Ne Un Par Har Cheez Ke Darwaze Khol Diye. Yahan Tak Ke Jab Un Cheezon Se Joh Un Ko Di Gai Theen Khoob Khush Hogaye, Toh Ham Ne Un Ko Na Gahaan Pakar Liya Aur Wo Us Waqt Mayoos Ho Kar Reh Gaye.
45
Gharaz Zalim Lougon Ki Jar Kaat Di Gai.Aur Sab Tareef Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Hi Ko Sazawaar Hai.
46
In Kafiron Se Kaho Ke Bhala Daikho Toh Agar Khuda Tumhare Kaan Aur Aankhhain Cheen Le Aur Tumahre Dilon (Hearts) Par Mohor(Stemp) Laga De, Toh Khuda Ke Siwa Kon Sa Maabood Hai Jon Tumhain Ye Naimatain Phir Bakhshe ?Daikho Ham Kis Kis Tarha Apni Aayatain Biyaan Karte Hain.Phri Bhi Ye Loug Ro Gardaani Kiye Jate Hain.
47
Kaho Ke Bhala Bataow Toh Agar Tum Par Khuda Ka Azaab Be Khabri Main Ya Khabar Aane Ke Baad Aye Toh Kya Zaalim Lougon Ke Siwa Koi Aur Bhi Halaak Hoga?
48
Aur Ham Joh Paigambaron Ko Bhaijte Rahe Hain, Toh Khushkhabri Sunane Aur Darane Ko, Phir Joh Shakhs Eemaan Laye Aur Naiko Kaar Ho Jaye, Toh Aise Lougo Ko Na Kuch Khof Hoga Aur Na Wo Andhonaak Honge.
49
Aur Jinhoun Ne Hamari Aayaton Ko Jhutlaya Un Ki Nafarmaniyon Ke Sabab Unhain Azaab Hoga.
50
Keh Do Ke Main Tumse Yeh Nahi Kehta Ke Mere Paas Allah Taala Ke Khazne Hain, Aur Na Yeh, Ke Main Ghaib Janta Hoon Aur Na Tumse Ye Kehta Hoon Ke Main Farishta Hoon. Main Toh Sirf Us Hukum Par Chalta Hoon Joh Mujhe Khuda Ki Taraf Se Aata Hai. Keh Do Ke Bhala Andha Aur Aankh Wale Barabar Hote Hain? Toh Phir Tum Ghour Kion Nahi Karte.
51
Aur Jo Loug Khof Rakhte Hain Ke Apne Parwardigaar Ke Ru Baru Hazir Kiye Jayen Ge Aur Jaante Hain Ke Us Ke Siwa Na Toh Un Ka Koi Dost Hoga Aur Na Sifarish Karne Wala, Un Ko Is Quraan Ke Zariye Se Naseehat Karo Taa-Ake Parhaizgaar Banain.
52
Aur Joh Loug Subh-O-Shaam Apne Parwardigaar Se Dua Karte Hain Aur Us Ki Zaat Ke Talib Hain Un Ko Apne Paas Se Mat Nikalo. Un Ke Hisaab-E-Aamaal Ki Jawab Dahi Tum Par Kuch Nahi, Aur Tumhare Hisab Ki Jawab Dahi Un Par Kuch Nahi, Pas Aisa Na Karna Agar Un Ko Nikalo Ge Toh Zalimon Main Ho Jao Ge.
53
Aur Isi Tarha Ham Ne Baaz Lougon Ki Baz Se Aazmaaish Ki Hai Ke Joh Dolatmand (Rich) Hain Wo Ghareboun (Poorers) Ki Nisbat Kehte Hain Kia Yeh Hi Loug Hain Jin Par Khuda Ne Ham Main Se Fazal Kia Hai, Khuda Ne Farmaya Bhala Khuda Shukar Karne Waloun Se Waqif Nahi?
54
Aur Jab Tumhare Paas Aise Loug Aaya Karenn Joh Hamari Aayaton Par Eemaan Laate Hain Toh Un Se Slaamun Alaikum Kaha Karo Khuda Ne Apni Zaat Paak Par Rehmat Ko Laazim Kar Liya Hai, Ke Joh Koi Tum Main Nadani Se Koi Buri Harkat Kar Baithe Phir Us Ke Baad Touba Kar Le Aur Naiko Kaar Ho Jaye, Toh Wo Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
55
Aur Isi Tarha Ham Apni Aayatian Khol Khol Ke Biyaan Karte Hain Taa-Ake Tum Loug Un Par Amal Karo, Aur Is Liye Ke Gunnah Gaaron Ka Rasta Zahir Ho Jaye.
56
Ae Paigambar! Kuffar Se Keh Do Ke Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukarte Ho Mujhe Un Ki Ibadat Se Mana Kia Gaya Hai. Ye Bhi Keh Do Ke Main Tumhari Khuahishon Ki Pairwi Nahi Karoonga Aisa Karoon Toh Gumrah Ho Jaoon Aur Hidayat Yaafta Lougon Main Na Rahoon.
57
Keh Do Ke Main Toh Apne Parwardigar Ki Daleel-E-Roshan Par Hoon Aur Tum Us Ki Takzeeb Karte Ho. Jis Cheez Yaani Azaab Ke Liye Tum Jaldi Kar Rahe Ho Wo Mere Paas Nahi Hai, Aisa Hukum Allah Hi Ke Ikhityaar Mian Hai, Wo Sachi Baat Biyaan Fermata Hai Aur Wo Sab Se Behtar Faisla Karne Wala Hai.
58
Keh Do Ke Jis Cheez Ke Liye Tum Jaldi Kar Rahe Ho Agar Wo Mere Ikhtiyaar Main Hoti Toh Mujh Main Aur Tum Main Faisla Ho Chukka Hota. Aur Khuda Zaalimon Se Khoob Waqif Hai.
59
Aur Usi Ke Paas Gaib Ki Kunjiyan Hain Jin Ko Us Ke Siwa Koi Nahi Jaanta. Aur Use Jungalon Aur Daryaaon Ki Sab Cheezon Ka Ilm Hai.Aur Koi Patta Nahi Jharta, Magar Wo Us Ko Janta Hai Aur Zameen Ke Andhairon Main Koi Dana Aur Koi Hari (Green) Aur Sookhi Cheez Nahi Hai Magar Kitaab Roshan Main Likhi Hui Hai.
60
Aur Wo Hi Toh Hai Joh Raat Ko Sone Ki Halat Main Tumhari Rooh Qabz Kar Leta Hai Aur Joh Kuch Tum Din Main Karte Ho Us Se Khabar Rakhta Hai Phir Tumahin Dinn (Day) Ko Utha Deta Hai Taa-Ake Yehi Silsila Jari Rakh Kar Zindagi Ki Muddat Moiyyan (Fixed Time Period) Poori Kar Di Jaye Phir Tum Sab Ko Usi Ki Taraf Lout Kar Jana Hai Is Roz Wo Tum Ko Tumhare Amaal Joh Tum Karte Rehte Ho Aik Aik Kar Ke Bataye Ga.
61
Aur Wo Apne Bandoun Par Galib Hai. Aur Tum Par Nigehbaan Muqarrar Kiye Rakhta Hai.Yahan Tak Ke Tum Main Se Kisi Ki Mout Aati Hai To Hamare Farishte Us Ki Rooh Qabz Kar Lete Hain Aur Kisi Tarha Ki Kotaahi (Mistake) Nahi Karte.
62
Phir Qiamat Ke Din Tamaam Loug Apne Maalik-E-Barhaq Khuda Taala Ke Paas Wapas Bulaye Jayen Ge.Sun Lo Ke Hukum Usi Ka Hai Aur Wo Nihayat Jald Hisab Lene Wala Hai.
63
Kaho Bhala Tum Ko Jungalon (Forests) Aur Daryaon Ke Andhairon Se Kion Mukhlasi Deta Hai Jab Ke Tum Usse Aajzi Aur Niyaaz-E-Pinhaani Se Pukarte Ho Aur Kehte Ho Agar Khuda Ham Ko Is Tangi Se Nijaat Bakhshe Toh Ham Us Ke Bohot Shukar Guzaar Houn.
64
Kaho Ke Khuda Hi Tum Ko Is Tangi Se Aur Har Sakhti Se Nijaat Bakhashta Hai.Phir Tum Us Ke Sath Shirk Karte Ho.
65
Keh Do Ke Wo Is Par Bhi Qudrat Rakhta Hai Ke Tum Par Oopar Ki Taraf Se Ya Tumahre Paaown (Under Feet) Ke Neeche Se Azaab Bhaije Ya Tumhain Firqa Firqa Kar De Aur Aik Ko Doosre Se Lara Kar Apas Ki Larayee Ka Mazah Chakha De. Daikho Ham Apni Aayaton Ko Kis Kis Tarha Biyaan Karte Hain Taa-Ake Ye Loug Samjhain.
66
Aur Is Quraan Ko Tumhari Qoum (Nation) Ne Jhutlaya Halaanke Wo Sarasar Haq Hai.Keh Do Ke Main Tumahra Darogha Nahi Hoon.
67
Har Khabar Ke Liye Aik Waqt Muqarrar Hai Aur Tum Ko Anqareeb Maloom Ho Jaye Ga.
68
Aur Jab Tum Aise Lougon Ko Daikho Joh Hamari Aayaton Ke Bare Main Behooda Bakwaas Kar Rahe Houn Toh Un Se Alag Ho Jao Yahan Tak Ke Aur Batoun (Discussion) Main Masroof Ho Jayain. Aur Agar Yeh Baat Shaitan Tumahain Bhula De Toh Yaad Aane Par Zalim Lougon Ke Sath Na Baitho.
69
Aur Parhaizgaaron Par Un Louge Ke Hisaab Ki Kuch Bhi Jawab Dahi Nahi, Haan Naseehat Taa-Ake Wo Bhi Parhaizgaar Houn.
70
Aur Jin Lougon Ne Apne Deen Ko Khial Aur Tamasha Bana Rakha Hai Aur Dunia Ki Zindagi Ne Unko Dhoke Main Daal Rakha Hai Un Se Kuch Kaam Na Rakho, Haan Us Quraan Ke Zariye Se Naseehat Karte Raho Taa-Ake Qiamat Ke Din Koi Apne Aamaal Ki Saza Main Halakat Main Ne Dala Jaye, Us Roz Khuda Ke Siwa Na Toh Koi Us Ka Dost Hoga Aur Na Sifarish Karne Wala. Aur Agar Wo Har Cheez Joh Roo-E-Zameen Par Hai, Batour-E-Moaawza Dena Chahe Toh Wo Us Se Qabool Na Ho, Ye Hi Wo Loug Hian Ke Jo Apne Aamaal Ke Wabaal Main Halakat Main Daale Gaye, Un Ke Liye Peene Ko Khoulta Pani (Hot Water) Aur Dukh Dene Wala Azaab Hai, Is Liye Ke Kufur Karte The.
71
Kaho! Kia Ham Ne Khuda Ke Siwa Aisi Cheez Ko Pukaren Joh Na Hamara Bhala Kar Sake Na Bura. Aur Jab Ham Ko Khuda Ne Seedha Rasta Dikha Dia, Toh Kia Ham Ulte Paaon Phir Jayen? Phir Hamari Aisi Misaal Ho Jaise Kisi Ko Jinnat (Ghost) Ne Jungal Main Bhula Dia Ho Aur Wo Hairaan Ho Raha Ho, Aur Us Ke Kuch Rafeeq Houn Joh Us Ko Raste Ki Taraf Bulayen Ke Hamare Paas Chala Aa. Keh Do Ke Rasta Toh Wo Hai Joh Khuda Ne Bataya Hai. Aur Hamain Toh Yeh Hukum Mila Hai Ke Ham Khudaa-E-Rab-Ul-Aalmeen Ke Farmabardaar Houn.
72
Aur Ye Bhi Ke Namaz Parhte Raho Aur Us Se Darte Raho.Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ke Paas Tum Jama Kiye Jao Ge.
73
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Aasmaaon Aur Zameen Ko Tadbeer Se Paida Kia Hai. Aur Jis Din Wo Farmaye Ga Ke Ho Ja To Hasher Barpa Ho Jaye Ga. Us Ka Irshaad Bar Haq Hai.Aur Jis Din Soor Phoonka Jaye Ga Us Din Usi Ki Baadshahat Hogi. Wohi Poshieeda (Hidden) Aur Zahir Sab Ka Jaan-Ne Wala Hai Aur Wo Hi Dana Aur Khabardaar Hai.
74
Aur Wo Waqt Bhi Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Ibrahim Ne Apne Baap (Father) Aazar Se Kaha Tum Kia Buttoun Ko Maabood Banate Ho. Main Daikhta Hoon Ke Tum Aur Tumhari Qoum Sareeh Gumrahi Main Ho.
75
Aur Ham Is Tarha Ibrahim Ko Aasmaano Aur Zameen K Ajaibaat (Wonders) Dikhane Lage Taa-Ake Wo Khoob Yaqeen Karne Waloun Main Ho Jaye.
76
Yaani Jab Raat Ne Un Ko Parda-E-Tareeki Se Dhaanp Liya Toh Aasmaan Main Aik Sitara (Star) Nazar Para. Kehnen Lage Ye Mera Parwardigar Hai.Jab Wo Gaaib Ho Gaya To Kehne Lage Ke Mujhe Gaaib Ho Jane Wale Toh Pasand Nahi.
77
Phir Jab Chaand (Moon) Ko Daikha Ke Chamak Raha Hai Toh Kehne Lage Ye Mera Parwardigaar Hai. Lekin Jab Wo Bhi Chup Gaya Toh Boul Uthe Ke Agar Mera Parwardigaar Mujhe Seedha Rasta Nahi Dikhaye Ga
Toh Main Un Lougon Main Ho Jaaon Ga Joh Bhatak Rahe Hain.
78
Phir Jab Sooraj(Sun) Ko Daikha Ke Jagmaga Raha Hai Toh Kehne Lage Mera Parwardigaar Ye Hai Ye Sab Se Bara Hai. Magar Jab Wo Bhi Garoob (Sunset) Ho Gaya Toh Kehne Lage Logo! Jin Cheezon Ko Tum Khuda Ka Shareek Banate Ho Main Un Se Baizaar Hoon.
79
Main Ne Sab Se Yaksoo(Concentrate) Ho Kar Apne Taiyeen (Myself) Usi Zaat Ki Taraf Mutawajoh (Attention) Kia Jis Ne Aasmaano Aur Zameen Ko Paida Kia Hai Aur Main Mushrikoun Main Se Nahi Hoon.
80
Aur Un Ki Qoum Un Se Behes Karne Lagi Toh Unhoun Ne Kaha Ke Tum Mujhe Se Khuda Ke Bare Main Kia Behes Karte Ho, Us Ne Toh Mujhe Seedha Rasta Dikha Dia Hai. Aur Jin Cheezon Ko Tum Us Ka Shareek Banate Ho Main Un Se Nahi Darta. Haan Joh Mera Parwardigaar Kuch Chaahe . Mera Parwardigaar Apne Ilm Se Har Chez Par Ahaata Kiye Hue Hai. Kia Tum Khayal Nahi Karte.
81
Bhala Main Un Cheezon Se Jin Ko Tum Khuda Ka Shareek Banate Ho Kion Kar Daroon, Jab Ke Tum Is Se Nahi Darte Ke Khuda Ke Sath Shareek Bante Ho, Jis Ki Us Ne Koi Sanad Nazil Nahi Ki. Ab Dono Fareeq Main Se, Koun Sa Fareeq, Aman Aur Jamiyat Khatir Ka Mustahiq Hai.Agar Samajh Rakhte Ho Toh Bataow.
82
Joh Loug Eemaan Laye Aur Apne Eemaan Ko Shirk Ke Zulm Se Makhloot Nahi Kia Un Ke Liye Aman Aur Jamiyat Khatir Hai Aur Wo Hi Hidayat Pane Wale Hain.
83
Aur Yeh Hamari Daleel Thi Joh Ham Ne Ibrahim Ko Un Ki Qoum Ke Muqable Maih Ata Ki Thi. Ham Jis Ke Chahte Hain Darje Buland Kar Dete Hain. Be Shak Tumahra Parwardigar Daana Ur Khabardaar Hai.
84
Aur Ham Ne Un Ko Ishaaq Aur Yaqoob Bakhshe. Aur Sab Ko Hidayat Di. Aur Pehle Nooh Ko Bhi Hidayat Di Thi Aur Un Ki Aulaad Main Se Daowood Aur Sulemaan Aur Ayoob Aur Yousuf Aur Moosa Aur Haroon Ko Bhi, Aur Ham Naik Lougon Ko Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.
85
Aur Zakria Aur Yaahiya Aur Eesa Aur Ilyaas Ko Bhi Yeh Sab Naiko Kar The.
76
Aur Ismaail Aur Alyasaa Aur Younus Aur Loot Ko Bhi . Aur In Sab Ko Jahaan Ke Lougn Par Fazeelat Bakhshi Thi.
87
Aur Baaz Baaz Ko Un Ke Baap Dada Aur Aulad Aur Bhaiyon Main Se Bhi. Aur Un Ko Burguzeeda Bhi Kia Tha Aur Seedha Rasta Bhi Dikhaya Tha.
88
Yeh Khuda Ki Hidayat Hai Is Par Apne Bandoun (People) Main Se Jisse Chahe Chalyae.Aur Agar Wo Loug Shirk Karte Toh Joh Amal Wo Karte The Sab Zaaiya Ho Jate.
89
Yeh Wo Loug The Jin Ko Ham Ne Kitaab Aur Hukum-E-Shariyat Aur Naboowat Ata Farmayi Thi. Agar Ye Kuffaar In Baaton Se Inkar Kare Toh Ham Ne Un Par Eemaan Lane Ke Liye Aise Loug Muqarrar Kar Diye Hain Ke Wo Un Se Kahbi Inkaar Karne Wale Nahi.
90
Yeh Wo Loug Hain Jinko Khuda Ne Hidayat Di Thi, Toh Tum Un Hi Ki Hidayat Ki Pairvi Karo. Keh Do Ke Main Tum Se Is Quraan Ka Sila Nahi Maangtaa. Yeh Toh Jahaan Ke Lougon Ke Liye Mehez Naseehat Hai.
91
Aur Un Lougon Ne. Khuda Ki Qadar. Jaisi Jaan-Ni Chahiye Thi Na Jani. Jab Unhon Ne Kaha Ke Khuda Ne Insaan Par Wahi Aur Kitaab Wagaira Kuch Bhi Nazil Nahi Kia. Kaho Ke Joh Kitaab Moosa Le Kar Aye The Usse Kis Ne Nazil Kia, Toh Joh Lougon Ke Liye Noor Aur Hidayat Thi Aur Jise Tum Ne Alehda(Saperate) Alehda Auraq(Pages) Par Naqal(Copy) Kar Rakha Hai, Un Ke Kuch Hisse(Parts) Toh Zahir Karte Ho Aur Aksar Ko Chupate Ho. Aur Tumko Wo Batain Sikhaye Gayee Jin Ko Na Tum Jante The Aur Na Tumhare Baap Daada. Keh Do Is Kitaab Ko Khuda Hi Ne Nazil Kia Tha Phir Un Ko Chor Do Ke Apne Behooda Bakwaas Main Khialte Rahain.
92
Aur Waisi Hi Yeh Kitaab Hai Jise Ham Ne Nazil Kia Hai Ba Barkat Joh Apne Se Pehli Kitaabon Ki Tasdeeq Karti Hai, Aur Jo Is Liye Nazil Ki Gai Hai Ke Tum Makkah Aur Us Ke Aas Paas (Adjoining Areas) Ke Lougon Ko Aagah Kar Do. Aur Joh Log Aakhrat Par Eemaan Rakhte Hain Wo Is Kitaab Par Bhi Eemaan Rakhte Hain, Aur Wo Apni Namazon Ki Poori Khabar Rakhte Hain.
93
Aur Is Se Barh Kar Zalim Koun Ho Ga Joh Khuda Par Jhoot Iftira Kare. Ya Ye Kahe Ke Mujh Par Wahi Aye Hai, Halaanke Us Par Kuch Bhi Wahi Na Ayee Ho Aur Joh Yeh Kahe Ke Jis Tarha Ki Kitaab Khuda Ne Nazil Ki Hai Us Tarha Ki Main Bhi Bana Leta Hoon. Aur Kaash Tum Un Zalim Yaani Musrik Lougon Ko Is Waqt Daikho Jab Mout Ki Sakhtiyon Main Mubtila Houn Aur Farishte Un Ki Taraf Azaab Ke Liye Hath Barha Rahe Houn Ke Nikalo Apni Jaanain. Aaj Tum Ko Zillat Ke Azab Ki Saza Di Jaye Gi Is Liye Ke Tum Khuda Par Jhoot Bola Karte The Aur Us Ki Aayaton Se Sarkashi Karte The.
94
Aur Jaisa Ham Ne Tum Ko Pehli Dafa Paida Kia Tha Aisa Hi Aaj Akaile Akaile Hamare Paas Aye Aur Joh Maal-O-Mataa Ham Ne Tumahin Ata Farmaya Tha Wo Sab Api Peeth Peeche Chor Aye Aur Ham Tumhare Sath Tumahre Sifarishiyoun Ko Bhi Nahi Daikhte Jin Ki Nisbat Tum Khayal Karte The Ke Wo Tumhara Shafee Aur Hamare Shareek Hai. Aaj Tumahre Apas Ke Sab Taluuqaat Aj Munqata (Disconnectc) Ho Gaye Aur Joh Daawe Tum Kia Karte The Sab Jate Rahe.
95
Be Shak Khuda Hi Daane Aur Guthli Ko Phar Kar Un Se Darakht Wagaira Ugaata Hai, Wo Hi Jandaar Ko Be Jaan Se Nikaalta Hai Aur Wo Hi Be Jaan Ko Jaandaar Se Nikaalne Wala Hai.Ye Hi Toh Khuda Hai.Phir Tum Kahan Behke Phirte Ho.
96
Wo Hi Raat Ke Aindahre Se Subh Ki Roshni Phar Nikalta Hai Aur Usi Ne Raat Ko Mouja-E- Araam Thehraya Aur Sooraj Aur Chand Ko Zaraye Shumaar (Way Of Counting) Banaya Hai.Ye Khuda Ke Muqarrar Kiye Hue Andaze Hain Joh Galib Aur Ilm Wala Hai.
97
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tumahre Liye Sitare Banaye Taa-Ake Junglon Aur Daryaon Ke Andharon Main Unse Raste Maloom Karo . Aqal Walo Ke Liye Ham Ne Apni Aayatain Khol Khol Kar Biyaan Kar Di Hain.
98
Aur Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Aik Shakhs Se Paida Kia. Phir Tumhare Liye Aik Teherne (Dunia) Ki Jaga Hai Aur Aik Supurd (Buried) Hone Ki, Samajhne Waloun Ke Liye Ham Ne Api Aayatain Khol Khol Kar Biyaan Kar Di Hain.
99
Aur Wo Hi Toh Hai Joh Aasmaan Se Meena (Rain)Barsata Hai.Phir Ham Bhi Joh Meena Barasate Hain Is Se Har Tahra Ki Roiyedgi Ugaate Hain. Phir Us Main Se Sabz Sabz (Green) Kounplain Nikalte Hain. Aur Un Kounplon Main Se Aik Doosre Ke Sath Jure Hue Daane Nikalte Hain Aur Khajoor (Dates) Ke Gaabhe Main Se Latakte Hue Guche Aur Angooron (Grapes) Ke Bagh(Garden) Aur Zaitaoon(Olive) Aur Anaar Joh Aik Doosre Se Milte Julte Bhi Hain Aur Nahi Bhi Milte. Yeh Cheezain Jab Phalti Hain Toh In Ke Phaloun Par Aur Jab Pakti Hain Toh Inke Pakne Par Nazar Karo. In Main Un Lougon Ke Liye Joh Eemaan Late Hain Qudrat-E-Khuda Ki Bohot Se Nishaniayan Hain.
100
Aur Un Logon Ne Jinhoun Ko Khuda Ka Shareek Tehraya . Halanke Unko Usi Ne Paida Kia Aur Be Samjhe Jhoot Bohtaan Us Ke Liye Baite(Son) Aur Baityaan(Daughters) Bana Khari Keen Wo In Batoun Se Jo Us Ki Nisbat Biyaan Karte Hain Paak Hai Aur Us Ki Shaan In Se Buland Hai.
06.101 Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her cheez ko khoob janta hai.
06.102 Yeh hai Allah Taalaa tumhara rab! Uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi her cheez ka peda kerney wala hai to tum uss ki ibadat kero aur woh her cheez ka kaar saaz hai.
06.103 Uss ko to kissi ki nigah moheet nahi ho sakti aur woh sab nigahon ka moheet ho jata hai aur wohi bara bareek been ba khabar hai.
06.104 Abb bila shuba tumharay pass tumharay rab ki janib say haq beeni kay zaraye phonch chukay hain so jo shaks dekh ley ga woh apna faeeda keray ga aur jo shaks andha rahey ga woh apna nuksan keray ga aur mein tumhara nigaraan nahi hun.
06.105 Aur hum iss tor per dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain takay yeh yun kahen kay aap ney kissi say parh liya hai aur takay hum iss ko danish mandon kay liye khoob zahir ker den.
06.106 Aap khud iss tareeq per chaltay rahiye jiss ki wahee aap kay rab ki taraf say aap kay pass aaee hai Allah Taalaa kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi aur mushrikeen ki taraf khayal na kijiye.
06.107 Aur agar Allah Taalaa ko manzoor hota to yeh shirk na kertay aur hum ney aap ko inn ka nigraan nahi banaya. Aur na aap inn per mukhtaar hain!
06.108 Aur gaali mat do unn ko jin ki yeh log Allah Taalaa ko chor ker ibadat kertay hain kiyon kay phir woh ba-raah-e-jahal hadd say guzar ker Allah Taalaa ki shaan mein gustakhi keren gay hum ney iss tarah her tareeqay walon ko unn ka amal marghoob bana rakha hai. Phir apney rab hi kay pass inn ko jana hai so woh inn ko batla dey ga jo kuch bhi woh kiya kertay thay.
06.109 Aur inn logon ney qasmon mein bara zor laga ker Allah Taalaa ki qasam khaee kay agar inn kay pass koi nishani aajaye to woh zaroor hi uss per eman ley aayen gay aap keh dijiye kay nishaniyan sab Allah kay qabzay mein hain aur tum ko iss ki kiya khabar kay woh nishaniyan jiss waqt aajayen gi yeh log tab bhi eman na layen gay.
06.110 Aur hum bhi inn kay dilon ko aur inn ki nigahon ko pher den gay jaisa kay yeh log iss per pehli dafa eman na laye aur hum inn ko inn ki sirkashi mein heyraan rehney den gay.
06.111 Aur agar hum inn kay pass farishton ko bhej detay aur inn say murday baaten kerney lagtay aur hum tamam mojodaat inn kay pass inn ki aankhon kay roo baroo laa ker jama ker detay hain tab bhi yeh log hergiz eman na latay haan agar Allah hi chahaye to aur baat hai lekin inn mein ziyada logo jahalat ki baaten kertay hain.
06.112 Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye.
06.113 Aur takay uss ki taraf unn logon kay quloob maeel hojayen jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aur takay uss ko pasand kerlen aur takay murtakib hojayen unn umoor kay jin kay woh murtakib hotay thay.
06.114 To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon.
06.115 Aap kay rab ka kalaam sachaee aur insaf kay aetabaar say kaamil hai iss kay kalaam ko koi badalney wala nahi aur woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.
06.116 Aur duniya mein ziyada log aisay hain kay agar aap unn ka kehna mannay lagen to woh aap ko Allah ki raah say bey raah ker den woh mehaz bey asal khayalaat per chaltay hain aur bilkul qayassi baaten kertay hain.
06.117 Bil yaqeen aap ka rab unn ko khoob janta hai jo iss ki raah say bey raah ho jata hai. Aur woh unn ko bhi khoob janta hai jo uss ki raah per chaltay hain.
06.118 So jiss janwar per Allah ka naam liya jaye uss mein say khao! Agar tum uss kay ehkaam per eman rakhtay ho.
06.119 Aakhir kiya waja hai kay tum aisay janwar mein say na khao jiss per Allah ka naam liya gaya ho halankay Allah ney unn sab janwaron ki tafseel bata di hai jin ko tum per haram kiya hai magar woh bhi jab tum ko sakht zaroorat parr jaye to halal hai aur yeh yaqeeni baat hai kay boht say aadmi apney khayalaat per bila kissi sanad kay gumrah kertay hain. Iss mein koi shuba nahi kay Allah Taalaa hadd say nikal janey walon ko khoob janta hai.
06.120 Aur tum zahiri gunah ko bhi chor do aur baatini gunah ko chor do. Bila shuba jo log gunah ker rahey hain unn ko unn kay kiye ki un-qarib saza milay gi.
06.121 Aur aisay janwaron mein say mat khao jin per Allah ka naam na liya gaya ho aur yeh kaam na farmani ka hai aur yaqeenan shayateen apney doston kay dilon mein daaltay hain takay yeh tum say jidal keren aur agar tum inn logon ki ita’at kerney lago to yaqeenan tum mushrik hojao.
06.122 Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain.
06.123 Aur issi tarah hum ney her basti mein wahan kay raeeson hi ko jaraeem ka murtakib banaya takay woh log wahan fareb keren. Aure woh log apney hi sath fareb ker rahey hian aur inn ko zara khabar nahi.
06.124 Aur jab inn ko koi aayat phonchti hai to yun kehtay hain kay hum hergiz eman na layen gay jab tak kay hum ko bhi aisi hi cheez na di jaye jo Allah kay rasoolon ko di jati hai iss moqay ko to Allah hi khoob janta hai kay kahan woh apni payghumbari rakhay? Un-qarib inn logon ko jinhon ney jurm kiya hai Allah kay pass phonch ker zillat phonchay gi aur inn ki shararaton kay muqablay mein sazay-e-sakht.
06.125 So jiss shaks ko Allah Taalaa raastay per daalna chahaye uss key seenay ko islam kay liye kushada ker deta hai aur jiss ko bey raah rakhna chahaye uss kay seenay ko boht tang ker deta hai jaisay koi aasman mein charhta hai issi tarah Allah Taalaa eman na laney walo per na paki musallat ker deta hai.
06.126 Aur yehi teray rab kay seedha raasta hai. Hum ney naseehat hasil kerney walon kay wastay inn aayaton ko saaf saaf biyan ker diya.
06.127 Inn logon kay wastay inn kay rab kay pass salamti ka ghar hai aur Allah Taalaa inn say mohabbat rakhta hai inn kay aemaal kay waja say.
06.128 Aur jiss roz Allah Taalaa tamam khalaeeq ko jama keray ga (kahey ga) aey jamat jinnaat ki! Tum ney insanon mein say boht say apna liye jo insan inn kay sath talluq rakhney walay thay woh kahen gay aey humaray perwerdigar hum mein aik ney doosray say faeeda hasil kiya tha aur hum apni iss moyyen muddat tak aa phonchay jo tu ney humaray liye moyyen farmaee Allah farmaye ga kay tum sab ka thikana dozakh hai jiss mein hamesha raho gay haan agar Allah hi ko manzoor hoto doosri baat hai. Be-shak aap ka rab bari hikmat wala bara ilm wala hai.
06.129 Aur issi tarah hum baaz kuffaar ko baaz kay qarib rakhen gay unn kay aemaal kay sabab.
06.130 Aey jinnaat aur insanon ki jamat! Kiya tumharay pass tum mein say hi payghumbar nahi aaye thay jo tum say meray ehkaam biyan kertay aur tum ko iss aaj kay din ki khabar detay? Woh sab arz keren gay kay hum apney upper iqrar kertay hain aur inn ko dunyawi zindagi ney bhool mein dalay rakha aur yeh log iqrar kerney walay hongay kay woh kafir thay.
131
Ae Muhammad S.A.W.! Ye Joh Paigambar Aate Rahe Aur Kitabain Nazil Hoti Raheen Toh Is Liye Ke Tumhara Parwardigaar Aisa Nahi Ke Bastiyon Ko Zulm Se Halaak Kar De Aur Wahan Ke Rehne Waloun Ko Kuch Bhi Khabar Na Ho.
132
Aur Sab Lougon Ke Balehaaz-E-Amaal Darje Muqarrar Hain, Aur Joh Kaam Yeh Loug Karte Hain Khuda Un Se Be Kabar Nahi .
133
Aur Tumahra Parwardigaar Be Parwa Aur Sahib-E-Rehmat Hai Agar Chahe Toh Ae Bando Tumhain Nabood Kar De Aur Tumahre Baad Jin Lougon Ko Chahe Tumahra Jaanasheen Bana De, Jaisa Tum Ko Bhi Doosre Lougon Ki Nasal Se Paida Kia Hai.
134
Kuch Shak Nahi Ke Joh Wada Tum Se Kia Jata Hai Wo Wuqoo Main Aane Wala Hai Aur Tum Khuda Ko Maghloob Nahi Kar Sakte.
135
Keh Do Ke Lougo Tum Apni Jaga Amal Kiye Jao Main Apni Jaga Amal Kiye Jata Hoon Anqareeb Tum Ko Maloom Ho Jaye Ga Ke Aakhrat Main Behshat Kis Ka Ghar Ho Ga, Kuch Shak Nahi Ke Mushrik Nijaat Nahi Pane Ke.
136
Aur Yeh Loug Khuda Hi Ki Paida Ki Hui Cheezoun Yaani Khaiti Aur Choupayaon Main Khuda Ka Bhi Aik Hisa Muqarrar Karte Hain Aur Apne Khayaal-E-Batil Se Kehte Hain Ke Ye Hisaa Toh Khuda Ka Aur Yeh Hamare Shirkiyoun Yaani Button Ka Toh Joh Hissa Un Ke Shirkiyoun Ka Hota He Wo Toh Khuda Ki Taraf Nahi Ja Sakta Aur Joh Hisa Khuda Ka Hota Hai Wo Un Ke Shirkiyoun Ki Taraf Ja Sakta Hai Ye Kaisa Bura Insaaf Hai.
137
Isi Tarha Bohot Se Mushrikoun Ko Un Ke Shareekoun Ne Un Ke Bachon Ko Jaan Se Maar Daalna Acha Kar Dikhaya Hai Taa-Ake Unahin Halakat Main Daal Dain Aur Un Ke Deen Ko Un Par Khalat Malat Kar Dian Aur Agar Khuda Chahta Toh Wo Aisa Na Karte Toh Un Ko Chor Do Ke Wo Jaanain Aur Un Ka Jhoot.
138
Aur Apne Khayal Se Yeh Bhi Kehte Hain, Ke Ye Chaar Paye Aur Khaiti Mana Hai, Use Us Shakhas Ke Siwa Jise Ham Chain Koi Na Khaye Aur Baaz Charpaaye Aise Hain Ke Un Ki Peeth Par Charhna Mana Kar Dia Gaya Hai, Aur Baaz Mawaishi Aise Hain Jin Par Zibaah Karte Waqt Khuda Ka Naam Nahi Lete Sab Khuda Par Jhoot Hai Wo Anqareeb Un Ko Unke Jhoot Ka Badla De Ga.
139
Aur Ye Bhi Kehte Hain Ke Joh Bacha Un Chaarpaayoun Ke Pait Main Hai Wo Khaas Hamare Mardoun Ke Liye Hai, Aur Hamari Aurtoun Ko Us Ka Khana Haraam Hai, Aur Agar Wo Bacha Mara Hua Ho Toh Sab Us Main Shareek Hain, Yaani Use Mard Aur Aurtain Sab Khayen Anqareeb Khuda Un Ko Un Ke Dhakhousloun Ki Saza De Ga Be Shak Wo Hikmat Wala Khabardaar Hai.
140
Jin Lougon Ne Apni Aurad Ko Bewaqoofi Se Be Samjhi Se Qatal Kia Aur Khuda Par Iftraa Kar Ke Us Ki Ata Farmaaye Hui Rozi Ko Haraam Tehraya Wo Ghate Main Par Gaye Wo Be Shuba Gumraah Hain Aur Hidayat Yaafta Nahi Hain.
141
Aur Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Bagh (Gardens) Paida Kiye Chatriyon Par Chrhaye Hue Bhi Aur Joh Chatriyon Par Nahi Charhaaye Hue Wo Bhi, Aur Khajoor Aur Khiati Jin Ke Tarha Tarha Ke Phal Hote Hain, Aur Zaitoon (Olive) Aur Anaar Joh Baaz Baton Main Aik Doosre Se Milte Julte Hain Aur Baaz Batoun Main Nahi Milte Jab Ye Cheezain Phaleen Toh Un Ke Phal Khaow, Aur Jis Din Phal Toro Aur Khaiti Kato Toh Khuda Ka Haq Bhi Us Main Se Ada Karo, Aur Be Ja Na Urana Ke Khuda Be Ja Urane Waloun Ko Dost Nahi Rakhta.
142
Aur Charpayon Main Bojh Uthane Wale Yaani Bare Bare Bhi Pada Kiye Aur Zameen Se Lage Hue Yaani Chote Chote Bhi, Pas Khuda Ka Dia Hua Rizq Kaho Aur Shaitaan Ke Qadmon Par Na Chalo Wo Tumhara Sareeh Dushman Hai.
143
Ye Bare Chote Chaar Paye Aath Qisam Ke Hain, Do Do Bhairoun (Sheeps) Main Se Aur Do Do Bakriyon Main Se, Yani Aik Aik Nar Aur Aik Aik Maada ,Ae Paigambar In Se Poocho Ke Khuda Ne Dono Ke Naron Ko Haram Kia Hai, Ya Dono Ki Maadniyon Ko, Ya Joh Bacha Maadniyon Ke Pait Main Lipat Raha Ho Use, Agar Sache Ho Toh Mujhe Sanad Se Battaow.
144
Aur Do Do Oontoun Main Se Aur Do Do Gaayaoun Main Se Un Ke Bare Main Bhi Un Se Poocho Ke Khuda Ne Dono Ke Naroun Ko Haraam Kiya Hai Ya Dono Ki Maadniyon Ko, Ya Joh Bacha Maadniyon Ke Pait Main Lipat Raha Ho Us Ko, Bhala Jis Waqt Khuda Ne Tum Ko Is Ka Hukum Dia Tha Tum Us Waqt Mojood The? Toh Is Shakhs Se Ziada Koun Zalim Hai Joh Khuda Par Jhoot Iftiraa Kare Taa-Ake Azraah-E-Bedanashi Lougon Ko Gumrah Kare, Kuch Shak Nahi Ke Khuda Zalim Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
145
Kaho Ke Joh Ehkaam Mujh Par Nazil Hue Hain, Main Un Main Se Koi Cheez Jisse Khane Wala Khaye Haraam Nahi Paata, Bajaz Is Ke Ke Wo Mara Hua Janwar Ho, Ya Behta Lahoo, Ya Sooar Ka Gosht Ke Ye Sab Napaak Hain, Ya Koi Gunnah Ki Cheez Ho, Ke Us Par Khuda Ke Siwa Kisi Aur Ka Naam Liya Gaya Ho Aur Agar Koi Majboor Ho Jaye Lekin Na Toh Nafarmai Kare Aur Na Had Se Bahar Nikal Jaye , Toh Tmhara Parwardigar Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
146
Aur Yahoodiyon Par Ham Ne Sab Nakhun Wale Janwar Haram Kar Diye The Aur Gaayon Aur Bakriyon Se Un Ki Charbi Haram Kar Di Thi Siwa Is Ke Joh Un Ki Peeth Par Lagi Ho Ya Oujhri Main Ho Ya Haddi Main Mili Ho, Ye Saza Ham Ne Un Ko Un Ki Shararat Ke Sabab Di Thi Aur Ham Toh Sach Kehne Wale Hain.
147
Aur Agar Ye Loug Tumahari Takzeeb Karain, Toh Keh Do Tumahra Parwardigaar Sahib-E-Rehmat Wasee Hai Magar Us Ka Azaab Gunnah Gaar Lougonse Nahi Tale Ga.
148
Joh Loug Shirk Karte Hain Wo Kahian Ge Ke Agar Khuda Chahta Toh Ham Shirk Na Karte Aur Na Hamre Baap Dada Shirk Karte Aur Na Ham Kisi Cheez Ko Haraam Tehraate, Isi Tarha Un Lougon Ne Takzeeb Ki Thi Joh Un Se Phele The, Yahan Tak Ke Hamare Azab Ka Mazah Cakh Kar Rahe Keh Do Kai Tumahre Paas Koi Sanad Hai Agar Hai Toh Use Hamare Saamne Nikalo Tum Mehez Khayal Ke Peeche Chalet Aur Atkal Ke Teer Chalet Ho.
149
Keh Do Ke Khuda Hi Ki Hujjat Galib Hai Agar Wo Chahata Toh Tum Sab Ko Hidayat De Deta.
150
Kaho Ke Apne Gawahoun Ko Laao Joh Batayen Ke Khuda Ne Yeh Cheezain Haraam Ki Hain, Phir Agar Wo Aakar Gawahi Dain Toh Tum Un Ke Sath Gawahi Na Dena, Aur Na Un Ki Khahishoun Ki Pairwi Karna Joh Hamari Aayatoun Ko Jhutlaate Hain, Aur Joh Aakrat Par Eemaan Nahi Late Aur Buttoun Ko Apne Parwardigar Ke Barabar Tehrate Hain.
151
Kaho Ke Lougo Aao, Main Tumahin Wo Cheezian Parh Kar Sunaoon Joh Tumhare Parwardigaar Ne Tum Par Haraam Kar Di Hain Un Ki Nisbat Us Ne Is Tarh Irshaad Farmaya Hai Ke Kisi Cheez Ko Khuda Ka Shareek Na Banana, Aur Maan Baap Se Badsalooki Na Karna Balke Salook Karte Rehna Aur Nadaari Ke Andaishe Se Api Aulad Ko Qatal Na Karna Kion Ke Tum Ko Aur Un Ko Ham Hi Rizq Dete Hain Aur Be Hayatyee Ke Kaam Zahir Houn Ya Posheeda Un Ke Pas Na Phatakna Aur Kisi Jaan Wale Ko Jis Ke Qatal Ko Khuda Ne Haraam Kar Dia Hai Qatal Na Karna Magar Jaaiz Tour Par Yaani Jis Ka Shareeat Hokum De Un Batoun Ka Wo Tumhain Takeed Karta Hai Taa-Ake Tum Samjho.
152
Aur Yateem Ke Maal Ke Paas Bhi Na Jana Magar Asie Tareeq Se Ke Bohot Hi Posheeda Ho, Yahan Tak Ke Wo Jawani Ko Pohonch Jaye Aur Naap Toul, Insaaf Ke Sath Poori Poori Kia Karo, Ham Kisi Ko Takleef Nahi Dete Magar Us Ki Taqat Ke Mutabiq, Aur Jab Kisi Ki Nisbat Koi Baat Kaho Toh Insaaf S Kaho Go Wo Tumhara Rishta Daar Hi Ho Aur Khuda Ke Ehed Ko Poora Karo Un Batoun Ka Khuda Tumahin Hukum Deta Hai Taa-Ake Tum Naseehat Qabool Karo.
153
Aur Yeh Ke Mera Sedha Rasta Ye Hi Hai Toh Tum Usi Par Chalna Aur Aur Raston Par Na Chalna Ke Un Par Chal Kar Khuda Ke Raste Se Alag Ho Jao Ge In Baton Ka Khuda Tumhain Hokum Deta Hai Taa-Ake Tum Parharizgaar Bano.
154
Haan Phir Sun Lo Ke Ham Ne Mosa A.S. Ko Kitaab Inayat Ki Thi Taa-Ake Un Lougon Par Joh Naiko Kar Hain Naimat Poori Kar Dain Aur Us Main Har Cheez Ka Biayaan Hai Aur Hidayat Hai Aur Rehmat Hai Taa-Ake Un Ki Ummat Ke Loug Ape Parwardigaar Ke Ru Ba Ru Hazir Hone Ka Yaqeen Karen.
155
Aur Ae Kufur Karne Walo! Ye Kitaab Bhi Hamee Ne Utaari Hai Barkat Wali, Toh Is Ki Pairwi Karo Aur Khuda Se Daro Taa-Ake Tum Par Meherbaani Ki Jaye.
156
Aur Is Liye Utari Hai Ke Tum Youn Na Kaho Ke Ham Se Pehle Do Hi Guroh Par Kitaabain Utri Hain Aur Ham Un Ke Parhne Se Mazoor Aur Be Khabar The.
157
Ya Ye Na Kaho Ke Agar Ham Par Bhi Kitaab Nazil Hoti, Toh Ham Un Lougon Ki Nisbat Kaheen Seedhe Raste Par Hote So Tumhare Paas Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Daleel Aur Hidayat Aur Rehmat Aa Gai Hai, Toh Us Se Barh Kar Zalim Koun Hoga Joh Khuda Ki Aayaton Ki Takzeeb Kare, Aur Un Se Lougon Ko Phaire Joh Loug Hamari Aayatoun Se Phairte Hain Us Phairne Ke Sabab Ham Un Ko Bure Azaab Ki Saza Dainge.
158
Ye Us Ke Siwa Aur Kis Baat Ke Muntazir Hain Ke Un Ke Paas Farishte Aayen Ya Khud Tumahra Parwaridagaar Aye Ya Tumahre Parwardigar Ki Kuch Nishaniyan Aayen Magar Jis Roz Tumhare Parwaridagiar Ki Nishaniyan Aa Jaye Gi Toh Joh Shakhs Pehle Eemaan Nahi Laya Hoga Us Waqt Use Eemaan Lana Kuch Faide Nahi De Ga, Ya Apne Eemaan Ki Halat Main Naik Amal Nahi Kiye Houge Toh Gunahoun Se Touba Karna Mufeed Nahi Hoga, Ae Paigambar Un Se Keh Do Ke Tum Bhi Intizaar Karro Ham Bhi Intizar Karte Hain.
159
Jin Lougon Ne Apne Deen Main Bohot Se Raste Nikale, Aur Kai Kai Firqe Ho Gaye Un Se Tum Ko Kuch Kaam Nahi, Un Ka Khaam Khuda Ke Hawale, Phir Joh Joh Kuch Wo Karte Rahe Hain Wo Un Ko Sab Bataye Ga.
160
Joh Koi Khuda Ke Huzoor Naiki Le Kar Aye Ga, Us Ko Waisi Hi Das Naikiyan Mailaingi Aur Joh Burai Laye Ga Use Saza Waisi Hi Mile Gi Aur Un Par Zulm Nahi Kia Jaye Ga.
161
Ke Do Ke Mujhe Mere Parwardigaar Ne Sedha Rasta Dikha Dia Hai Yaani Deen Saheeh, Mazhab Ibrahim Ka Joh Aik Khuda Hi Ki Taraf Ke The Aur Mushrikoun Main Se Na The.
162
Ye Bhi Ke Do Ke Meri Namaz Aur Meri Ibadat Aur Mera Jeena Aur Mera Marna Sab Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Hi Ke Liye Hai.
163
Jin Ka Koi Shareek Nahi Aur Mujh Ko Isi Baat Ka Hokum Mila Hai Aur Main Sab Se Awwal Farmabardar Hoon.
164
Kaho Kia Main Khuda Ke Siwa Aur Parwaridgaar Talash Karon Aur Wo Hi Toh Har Cheez Ka Malik Hai, Aur Jo Koi Bura Kaam Karta Hai To Us Ka Zarrar Usi Ko Hota, Hai Aur Koi Shakhs Kisi Ke Gunnah Ka Bojh Nahi Uthaye Ga Phir Tum Sab Ko Apne Parwardigaar Ki Taraf Loug Kar Jana Hai Toh Jin Jin Batoun Main Tum Ikhtilaaf Kia Karte The Wo Tum Ko Bataye Ga.
165
Aur Wohi Toh Hai Jis Ne Zameen Main Tum Ko Apna Naaib Banaya Aur Aik Ke Doosre Par Darje Buland Kiye Taa-Ake Joh Kuch Us Ne Tumhain Bakhsa Hai Us Main Tumahari Aazmaaish Kare, Be Shak Tumhara Parwardigaar Jald Azaab Dene Wala Hai Aur Be Shak Wo Bakhashne Wala Meherbaan Bhi Hai.
Sadaqallah-ul-azeem
No comments:
Post a Comment