Wednesday 22 March 2017

Kya Farz Namaz Shuru Hone Ke Baad Bhi Sunnat Namaz Padsakte Hai


Baaz log jamat me faraz Namaz shuru hone ke baad bhi Sunnat namaz padte hy.. Lekin Amal galat hy dekhiye Hadees Hazrat Abu hurairah(Razi Allah Anhu)riwayat karte hai ke Nabi-e-Kareem(Sallallaahu Alaihi wa sallam)ne Farmaya.

Jab Farz Namaz ki takbeer ho to koi Namaz na padhni chahiye siwaye Farz Namaz ke.
(Saheeh Muslim Hadees No.1644)

2)Hadees.
Hazrat Abu hurairah(Razi Allah Anhu)riwayat karte hai ke Nabi-e-pak (Sallallaahu Alaihi wa sallam)ne Farmaya.
Jab Farz Namaz ki Iqamat kahi jaye To siwaye Farz Namaz ke koi(aur)Namaz Nahi(padho)
(Saheeh Muslim Hadees No.1646).

2 comments: